Friday, February 05, 2010

Tum jo pal bhar ko,,,,,




Tum jo pal bhar ko thehro to yeh lamhe bhi
aane wale kayee lamho'n ki amanat ho jayein
tum jo thehro to yeh raat,yeh mahtaab
yeh sabza,yeh gulab aur hum dono ke khwab
sub ke sub aise mubham ho'n ke haqeeqat ho jayein
tum theher jao ke unwaan ki tafseer ho tum
tum se talkhiye auqat ka mausam badle
meherba'n ho ke na thehro to phir yu'n thehro
jaise pal bhar ko khwab-e-tamanna thehre
jaise derwesh-e-maddah nosh ke piyale mein kabhi
eik do pal kelie talkhi-e-duniya thehre
tum theher jao ke madarat ke maye khane se
chalte chalte koi eik aadh sabu ho jaye
is se pehle ke koi lamha-e-aainda ka teer
is tarha aaye ke paiwast-e-gulu ho jaye

No comments:

Post a Comment