Sunday, February 07, 2010

Aankhain khuli rahain gi to (mohsin)


Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi ayengai
Zinda hai dil to aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel ke paani ko yun na chairh
Cheenthay uray to teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mein
Sheeshay chamak rahe hain to pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht se fursat nahi — magar!!
Niklay safar pe hum to teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pe khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…

No comments:

Post a Comment