Sunday, February 07, 2010

Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf (Parveen Shakir)


Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
Terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai

Tere badalne ke baa-vajuud tujhko chaahaa hai
Ye ai’tiraaf bhii shaamil mere gunaah meN hai

Azaab degaa tou phir mujhko Khwaab bhii degaa
MaiN mutma’iin huN, meraa dil terii panaah meN hai

Jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye
Vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai

Yahii vo din the jab ek duusre ko paaya thaa
Hamaarii saalgiraah thiik ab ke maah meN hai

maiN bach bhii jaauuN tou tanhaa’ii maar daalegii
mere qabiilaa ka har fard, qatl-gaah meN hai
 

No comments:

Post a Comment