Monday, February 07, 2011

WO CHAND RAATON KI CHANDNI KO JO HAM NE JAANA TO BEWAFAI




WO CHAND RAATON KI CHANDNI KO, JO HAM NE JAANA TO BEWAFAI
UDAS ANKHON MAIN ROSHNI DI, MILI JO HAM KO TO BEWAFAI

MILA WO JB BHI MILA NA MIJH SE, KHIZA K PATON K KAFILON SA
JO ABR MANGA TO ABR BAKSHA, SILA HAMARA TO BEWAFAI

JO WAQT KI DASTARAS SE NIKLAY, TO ISHQ KI SARZAMEN PE AAE
CHALE THE HANS KR JO MERI PALKON PE, CHAL KE DEKHA TO BEWAFAI

WO HE PARI TO PARE RAHE PHR, YAHAN HUMAIN KYN SATATI HE PHR?
USAY TO JANA HAY BECH PARIYON KAY, MIJHKO DEGI TO BEWAFAI

KISI NE KAB YE KAHA HE KIS SE, K ZINDAGI TO HASEEN RUT THI
MIJHE BHI DEKHO ZMANAY SARAY KO, BANT-TA HON TO BEWAFAI

WO PHOL KALIYAN WO CHAND JUNGNO, WO RUNG E MEHFIL WO MARMARI SA
UDHAR LENE TO HM BHI POHNCHAY, JO JHOLI DEKHI TO BEWAFAI

KAHAN KI LAILA WO KON MAJNU, KAHANI ACHI SUNAI TUMNE
MAGAR JO SAMJHO YE ISHQ WALON K, BECH MAIN THI TO BEWAFAI

KAHA JO GHALIB NE EK GHAZAL MAIN, K JAO WO BEWAFA HI TEHRA
ANA SE MAJBOR HO K JEETA, MILI BHI USKO TO BEWAFAI

HAR EK KI QISMAT MAIN BEWAFAI, LIKHI KE SHAYAD KAHEN BHI DEKHO
WO GIRTAY PATON KO TUM JO DEKHO, ZAMEEN KO CHOWA TO BEWAFAI

YAHI HE DASTOR CHORNAY KA, K USPE AISA SAWAL DALOO
JO SATH RAKHE TO BEWAFA HO, JO CHOR JAE TO BEWAFAI

KISI SE POCHO JO SHEHAR MAIN TUM, K BEWAFAI KAHAN SE SEKHI?
JO GUN BHI SEKHA, JO BAAT JANI, JO SEKHI MIJH SE TO BEWAFAI

HAWA KI MAUJON PE BEHTA BEHTA, WO AAKHRI JO PAYAM AYA
WO MEHARBAAN NE KUCH AISA LIKHA, JO HARF LIKHA TO BEWAFAI

TU APNE GHAM SE HI BAWAFA HE,KAHE YE MIJHE SE KHUDA-E-SYED
JO NAZAR TERI ZARA BHI BHATKI, LIKHON KA JO BHI TO BEWAFAI


Jaanay waalon say palat kar nahi aaya jaata




Jaanay waalon say palat kar nahi aaya jaata
Raasta kis liye phoolon say sajaaya jaata

Gard, shab aur hawa teenon ki ye saazish thi
Ye diya jal kay na bhujta to bujhaaya jaata

Ghair say chaaon talab karnay say behtar kahein
Apnay aangan mein koii paiR ugaaya jaata

Hum musafir thay jo chaltay bhi to paaon jaltay
Sar kay sooraj ko agar sar say giraaya jaata

Ab kay mausam mein bohat dhoop utar aaii hay
Baraf kay phoolon say kya haar banaaya jaata


Kya tha zara si dair mein kya ho gaya koii




Kya tha zara si dair mein kya ho gaya koii
Do din juda raha to naya ho gaya koii

Wo bhi mujhay azeez tha mein bhi usay azeez
Phir jaanay kya hua kay khafa ho gaya koii

Meri nazar nay us ko khad-o khaal day diye
Zehra jamaal-e sheh'r-e saba ho gaya koii

Mehfil mein tha to chaand ki soorat sabeh tha
Tanha mila to rung-e hina ho gaya koii

Is khush'ada guraiz kay qurbaan jaaiye
Mujh ko salam kar kay hawa ho gaya koii

Ilzaam hum pay aaya hum musta'id na thay
Jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koii

Mujh jaisay be'nawa ko nawaza ba'sad khuloos
Yoon bhi bara tha aur bara ho gaya koii


!~~ Ajab Ye Zindagi ~~!



Ajab Ye Zindagi Ka Silsila Nikla..

Aake Manzil Pe Ek Aur Raasta Nikla..


Meelon Ka Safar Karke Main Us Se Aa Mila..


Dilon Ke Beech Hi Magar Faaslaa Nikla..


Maine Taraasha Tha Jis Patthar Ko Kabhi..


Wo Aaj Kisi Aur Ka Khuda Nikla..


Hoti Hai Mohabbat Se Har Mushkil Aasaan..


Mera Pyaar Hi Lekin Ek Maslaa Nikla..


Shikaayatein Karoge Bhi To Kis Se 'rAnA'..


Is Dard Ki Wajah Bhi To Ek Apna Nikla..


Kehta hi raha tujh'se kay pyaray nahi achay




Kehta hi raha tujh'se kay pyaray nahi achay
Her waqt ye palkon pay sitaray nahi achay

Us roz say mausam bhi bohat talkh hua hay
Jis roz say taiwar ye tumharay nahi achay

Un'hi say to abad hay ye shehar-e-mohabbat
Kehtay ho jinhein dard kay maray nahi achay

Is shehar mein taira bhi koi jurm to ho'ga
Ilzaam mairi zaat pay saray nahi achay

Aisay to parindon ki ye hijrat nahi hay
Lagta hay kay mausam kay isharay nahi achay


Meri aik Nazam aap doston ki nazar ...






Apni raaye se aagak kijy ga

Bhoolay say yaad karna...........