Thursday, February 18, 2010

jane tu kis alam main bichara hai ki tere bagair



muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka
bat kar tujh par guman hone laga tasvir ka


rat kya soye k baqi umr ki nind ur gai
Khvab kya dekha ki dharka lag gaya tabir ka


jane tu kis alam main bichara hai ki tere bagair
aj tak har lafz fariyadi meri tahrir ka


jis tarah badal ka saya pyas bharakta rahe
main ne vo alam bhi dekha hai teri tasvir ka


kis tarah paya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhi to qail ho gaya taqdir ka


ishq main sar phorna bhi kya k ye be-meher log
ju-e-Khun ko nam dete hain ju-e-shir ka


jis ko bhi chaha use shidat se chaha hai 'Faraz'
sil-sila tuta nahin dard ki zanjir ka

No comments:

Post a Comment