Saturday, November 28, 2009

aArZo

Saahm ko parindo ki tarhan lout ate hum


mutazir koi gar hamara hota


chand taron ki talab kisy thi


bus roshni k lye ek sitara hota


hum mein shayd koi kammi thi warna


zaror koi taraf daar hamara hota


duniya k logon ki tamana kisy thi


hum ne chaha bus ek SHAKHS hamara hota

Jo milA nAhi

Mujhe roz o shab ki kitab main


koi aisa harf na mil saka


jisy misl e gul ka khitab don


jisy chandni ki si taab don


jisy dhond kar


jisy khoj kar


rukh e aasman pe saja bhi don


mery khon e dil ki nigaarshen


meri roh tak k fishaar bhi


yahan ilm o fun ki dukan per


bary sastey damon se bik gaye


mujhe tor kar


mujhe phor kar


mery doston ne jala dya


rah e zindagi k ghubar main


meri raakh tak ko ura dya


mujhe bhir bhi koi gila nahi


jo mila nahi so mila nahi

tAmAm rAAt

Lipti rahi wajood se khushbo tamam raat


ata raha hay yaad mujhe wo tamam raat


us ne barey khalos se mani thi roshni


girty rahe makaan pe jugno tamam raat


rota raha wo aap hi apney naseeb par


apny galey ma daal k bazo tamam raat


fursat nahi thi tabeeb ko apny hi kaam se


pety rahe mareez bhi anso tamam raat

Thursday, November 12, 2009

Lines Of LoVe



Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,


Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi..


Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,


Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..


Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,


Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..


Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say,


Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi..


Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,


Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..


Duain us ki balaon ko rook laiti thin,


Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi..


Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,


Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..


Usay nadamatain mairi kahan gawara thin,


Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi..


Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin,


Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi..

Tuesday, November 10, 2009

Wo Meri bazam main aya ho kabhi yaad nahi

Wo Meri bazam main aya ho kabhi yaad nahi


Haal e dil khul k sunya ho kabhi yaad nahi


Ek sare rah mulaqat to tasleem magar


Khalwaton main bhi bulya ho kabhi yaad nahi


Kehkey cheen k ansu mujhe deny waley


Main ne tujh ko bhi rulya ho kaabhi yaad nahi


Jo zamany main mery naam se jana jaye


Haq koi us pe jatya ho kabhi yaad nahi


Neenedn raaton ki meri jis ne chura li


Main ne us ko bhi jagaya ho kabhi yaad nahi


Wo Meri bazam main aya ho kabhi yaad nahi

Sunday, November 08, 2009

NaAM TeRA?????



Ye Yaad Nahi Kya Kuch KhoOya…….
Bus Yaad Raha Mujhe Pyar HoOwa……

Jub Pyar HoOwa Sub BhoOl Gaye……..
Ek Yaad Raha Bus Naam Tera………..!

Hum Masjid Mandir BhoOl Gaye………..
Mujhe Yaad Raha Bus Saath Tera………

Kuch SaloOn Ba'ad WoO Hum Se Milay……….
Mai PoOch Betha, Kya Haal Tera……..?

WoO Hans K BoOlay, Aey "MOHSIN"…………..
ToO Ye ToO Bata Kya Naam Tera………..?