Thursday, December 17, 2009

DUKH

talkhiyan mitanay sey
ya unhain chupanay sey
dil mein dukh samanay sey
ronay aur rulanay sey
be wajah hansanay sey
khud sey bhi chupanay sey
ya tumhain batanay sey
dil ko aazmanay sey
rishtay torr aanay sey
yaad chorr aanay sey
ghum pe sabar karnay sey
dil pe jabar karnay sey
aansoun ko peenay sey
ghut ghut k jeenay sey
"dukh to kam nahin hotay
dukh to kam nahin hotay"

yeh MOHABBAT Hai

azal sey hai mohabbat maavra lafzon kii maala sey
magar yeh bhi haqeeqat hai
mohabbat soch k aakash par badal kii soorat mein
sada parwaaz kartii hai
kabhii baarish kii boondon mein simat kar
dil kii dhartii par
utartii hai, bikhartii hai
ada ley kar saba sey yeh, ghulaabon sey mehak ley kar
dhanak sey rang ley kar aur sitaron sey chamak ley kar
haseen aanchal banatii hai
ussi aanchal sey phir khawabon k kachay gher banatii hai
mohabbat aazmaatii hai
kabhii yeh shair ban kar lafz kii hurmat bharhaati hai
kabhii yeh saaz ban kar dheeray dheeray
gungunatii hai
sarapa e aankh ban jaatii hai yeh mehboob ko paa kar
anokha lams ban jaatii hai yeh ku e yaar mein jaa kar
naa janay kon saa mantar parh kar yeh
holay holay sey
kissi kii band palkon mein bina dastak diye yakdam
utar kar gher banatii hai
mohabbat muskuratii hai
yeh khushboo hai hamesha phool kii saanson mein
hotii hai
bana dey chaand tera shab ko yeh aisa motii hai
kasak hai daa'aimii iss mein bohat bey naam lazat hai
Mohabbat kii yehii tareef hai k
"yeh MOHABBAT Hai"

main to "MOHABBAT" hoon

main baarish kii barastii boond nahii
jo bars kar tham jaatii hai
main khawab nahii
jisey daikha aur bhula diya
main shama nahii
jisey phoonka aur bhuja diya
main hawa ka jhonka nahii
jo aaya aur guzar gaya
main chaand bhi nahii
jo raat k baad dhal jaaye
main to woh ahsaas hoon
jo tujh mein lahoo ban kar
gardish karay
main to woh rang hoon
jo teray dil pay charhay
to kabhii naa mitay
main to woh geet hoon
jo teray labon sey
kabhii juda naa ho gha
khawab ya hawa kii tarah
chaand, boond, shama kii tarah
meray mitnay ka sawal nahii
kyun k
"main to "MOHABBAT" hoon!!!"

Saturday, November 28, 2009

aArZo

Saahm ko parindo ki tarhan lout ate hum


mutazir koi gar hamara hota


chand taron ki talab kisy thi


bus roshni k lye ek sitara hota


hum mein shayd koi kammi thi warna


zaror koi taraf daar hamara hota


duniya k logon ki tamana kisy thi


hum ne chaha bus ek SHAKHS hamara hota

Jo milA nAhi

Mujhe roz o shab ki kitab main


koi aisa harf na mil saka


jisy misl e gul ka khitab don


jisy chandni ki si taab don


jisy dhond kar


jisy khoj kar


rukh e aasman pe saja bhi don


mery khon e dil ki nigaarshen


meri roh tak k fishaar bhi


yahan ilm o fun ki dukan per


bary sastey damon se bik gaye


mujhe tor kar


mujhe phor kar


mery doston ne jala dya


rah e zindagi k ghubar main


meri raakh tak ko ura dya


mujhe bhir bhi koi gila nahi


jo mila nahi so mila nahi

tAmAm rAAt

Lipti rahi wajood se khushbo tamam raat


ata raha hay yaad mujhe wo tamam raat


us ne barey khalos se mani thi roshni


girty rahe makaan pe jugno tamam raat


rota raha wo aap hi apney naseeb par


apny galey ma daal k bazo tamam raat


fursat nahi thi tabeeb ko apny hi kaam se


pety rahe mareez bhi anso tamam raat

Thursday, November 12, 2009

Lines Of LoVe



Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,


Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi..


Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,


Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..


Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,


Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..


Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say,


Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi..


Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,


Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..


Duain us ki balaon ko rook laiti thin,


Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi..


Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,


Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..


Usay nadamatain mairi kahan gawara thin,


Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi..


Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin,


Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi..

Tuesday, November 10, 2009

Wo Meri bazam main aya ho kabhi yaad nahi

Wo Meri bazam main aya ho kabhi yaad nahi


Haal e dil khul k sunya ho kabhi yaad nahi


Ek sare rah mulaqat to tasleem magar


Khalwaton main bhi bulya ho kabhi yaad nahi


Kehkey cheen k ansu mujhe deny waley


Main ne tujh ko bhi rulya ho kaabhi yaad nahi


Jo zamany main mery naam se jana jaye


Haq koi us pe jatya ho kabhi yaad nahi


Neenedn raaton ki meri jis ne chura li


Main ne us ko bhi jagaya ho kabhi yaad nahi


Wo Meri bazam main aya ho kabhi yaad nahi

Sunday, November 08, 2009

NaAM TeRA?????



Ye Yaad Nahi Kya Kuch KhoOya…….
Bus Yaad Raha Mujhe Pyar HoOwa……

Jub Pyar HoOwa Sub BhoOl Gaye……..
Ek Yaad Raha Bus Naam Tera………..!

Hum Masjid Mandir BhoOl Gaye………..
Mujhe Yaad Raha Bus Saath Tera………

Kuch SaloOn Ba'ad WoO Hum Se Milay……….
Mai PoOch Betha, Kya Haal Tera……..?

WoO Hans K BoOlay, Aey "MOHSIN"…………..
ToO Ye ToO Bata Kya Naam Tera………..?