Main jalwa e sudd rang hun ya moaj e saba hun
Ehsas ki chokhat pe khara soch rha hun
Ikk jaam to pee lene de ay gardish e doraan
Phir tujko btata hun main kon hun kya hun
Tum yaad kro pehli mulaaqat ki baatein
Main pehli mulaaqat zara bhool gaya hun
So baar zamane ne mujhe zehar dia hai
So baar main sach bol ke Suqraat bna hun
Aksar usse paa lene ki umeed mein MOHSIN
Khud apne liye raah ki deewaar bana hun
No comments:
Post a Comment