Friday, July 09, 2010

Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha

Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.

Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,

Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.

Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,

Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.

Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,

Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.

Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,

Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.

Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,

Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha.

Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya,Mujha Bus woh Itna Hi Keh Saka,

Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha

Woh na mumkin hey

Woh na mumkin hi usey pane ko dil chahta hy
Phir ek neya fareb khane ko dil chahta hy

Hosh mein reh ke tu kuch bhi keh nahi sakte
Un se thodi si pee kr behek jane ko dil chahta hy
...
Kaise manghon un se un ko hy ye bekhodi
Lekin is bekhodi se ab guzer jane ko dil chahta hy

Yoon to hote hyn gehre jheelon darya ay fallak
Lekin un gehri nigahon mein doob jane ko dil chahta hy

Log zakhmon ka madawa kyon krte hyn aao charagr
Zakhmin jiger mein aur zakhm khane ko dil chahta hy

Shabe gham kat ti nahi ay chrago ab tum se
Phir wohi jalwe toor pane ko dil chahta hy

Jal jal kr in hasraton se khak ho rahe farhan
Ab khak ho kr bs audh jane ko dil chahta hy..