Thursday, March 22, 2012

Mohabbat Kam Nahi hOt!



Faqt Pehluu Badalny Sy
Rafaqat Kam Nhi Hoti
Mgr Phir Bhi Na Milne Ki
Aziyat Kam Nhi Hoti
Jahan Koi Bichar Jaye
Wahin Per Uski Manzil Hy
Kisi k Saath Chalny Sy
Musafat Kam Nhi Hoti
Humare Dushmano Me
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn
So Hum Jis Haal Main Bhi Hon
Mohabbat Kam Nahi Hoti

Saturday, March 17, 2012

Mohabat..........

Tum Laffz “Mohabbet” Se Abhi Koso Door Ho

humne kaha tha na jana

Dil Mein Jallan
Soo’cho Mein Chubhan
Chere Pe Shikkan
Ankhon Mein Thakkan
Lehje Mein Ghuttan

Tum Laffz “Mohabbet” Se Abhi Koso Door Ho

Rishta....

Ajeeb Hi Rishta Raha Kuch Us Shakhs Se....

Na Nafrat Ki Wajha mili , Na Muhabbat Ka Sabab Mila…

Palat kar bhi na daikho

Palat kar bhi na daikho, na tum awaz do mujh ko,.

Bari mushkil se seekha hai kisi ko alvidaa kehna....

Tanha..............

Bethey Ho Ab Tanha Hajoom-e-Khalqat Mein....

Kaha Tha Na Muhabbat Ki Aada Niraali Hoti Hai...

Chor Dya

Chorr to Diya Mujhe Par Kabhi Ye Bhi Socha Tumne,
Ab Kabhi Jhoot Bola To Qasmein Kis Ki KhaoGe ..!!!

Zarorat...........

Aey dost hum nay tark-e-taaluq k bawajood,
Mehsoos ki hai teri zarroret kabhi kabhi…

Chandni

Tere baghair jee to raha hoon magar ye dil
Sehra ki chandni ki tarha sogwar hai..........!

Tanhai......

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech

Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech

Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech

Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech

dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech

Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech

Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

Teri Yaaad


Dua

Dil udhaas hai bohut koi paighaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar aik shaam hi likh do

Zuroori nahi kay mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Yeh jaanta hoon kay umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thehre hum
Koi enaam na likho koi ilzaam hi likh do

Dil ki kainaat

Wo kiss adaa se mere saamne se guzre abhi
Kiss tarha maine sambhale mere jazbaat na pooch

Waqt jo badle toh insaan badal jaate hai
Kya nahi dikhlaate yeh gardish-e-halaat na pooch

Woh kisi ka ho bhi gayi aur mujhe khabar na hui
Kiss tarha usne chudaya hai mujhse haath na pooch

Iss tarha pal mein mujhe begana kar diya usne
Kiss tarha apno se khayi hai maine maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch