Monday, December 24, 2012

Main Mar Mita to Wo Samjha...

Main Mar Mita to Wo Samjha Ye intiha thi Meri usay Khabar Hi Na thi, Khaak Keemya thi Meri
Main Chup Hua to wo Samjha ke Baat Khatam Hui Phir is ke baad to Aawaz ja baja thi Meri
Main us ko Yaad karoon bhi to yaad Aata Nahi Main Us ko Bhool Gaya Hoon, yahi Saza thi Meri
Shikast De gaya Apna Guroor Hi Us ko Wagarna Us ke MuQabil Bisaat kia thi Meri
Koi bhi Koo-e-Mohabbat Se Phir Nahi Guzra Tu Shahr-e-ishQ amin Kia Aakhri Sada thi Meri ?
Main Us ko Dekhta Rahta tha Hairaton Se "Faraz" Ye zindagi se Ta'Arruf ki ibdita thi Meri,,,,,

Sunday, December 02, 2012

Mohsin Naqvi............'s pOERTy

tu ke simta to rag-e-jaan ki haduun mein simta , 

mein jo bikhra to simta na gaya tere baad... 
  
yeh alag baat ke afshaan na hua tu warna ,
 
mein ne kitna tujhe mehsoos kia tere baad...
 
jan-e-mohsin mera hasil yehi mubham satrain,
 
sher kehny ka hunar bhol gya terey baad....!



Kab talak shab ke andhaire mein sehar ko tarse

Woh musafir jo bhare shehar mein ghar ko tarse

Aankh thehre huye paani se bhi katraati hai...




Hawa Ne Raakh Urraai Toh Dil Ko Yaad Aaya.............

K Jal Bujheen Mere Khwabon Ki Bastiyaan Mohsin....!!!





Us Ke Hone Se Thi Saansain Meri Dugni Mohsin....!!!
Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne
Sabz Mausam Main Mujhe Zard Hawa Di Us Ne ...



Kuch zakham sadiyon baad bhi taza rehte hain Mohsin,

Waqt ke pass bhi har marz ki dawa nahin hoti...!!!




Sab Fasane Hain Duniya'Dari K Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai

Sach To Yea Ha K Zamane Main Mohsin....

Main Bhi Jhoota Hon '' Tu Bhi Jhoota Hai...!




Is Shab k Muqadar Main Sehr Hi Nahi Mohsin

Daikha Hai kai Baar Charaghon Ko Bujha Ker...




Uff Shab-e-Ghum Ka Wo Tehra Howa Lamha Moshin

Jab Mere Weham Ki Ahat Bhi Jagah Dey Mujh ko....!




ZameeN Pe Reh Kar Sitaare Shikaar Karte HaiN,

Mohsin Mizaaj Ehl-E-Mohabbat Ka Aasmaani Hai




Nahin Hai MOHSIN Ko Tum Se Shikwa Tumhari Aisi Sitamgeri Ka,

Keh Tum Ko Daras-e- Wafa Mila Hai Udaas Rehna Udaas Rakhna.......





Sub mein rehta tha magar sub se juda lagta tha...
Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha,
Dst-e-Qatil bhi mujhe dst-e- hina lagta tha,
Dekne wale to use dhekhte reh jate thy,...





Dekha na Kissi Ne bhi meri Simt Palat Kar
MOHSIN main bikharte hue Sheeshon ki sada tha




Wo Ab Is Qadar Nazer Andaaz Karta Hai Mugh Ko Mohsin,

Ke Mera Hona Bhi Ab Hona Nahin Lagta




Tamanna thi Ke Pewand-e-Khak-e-Karbala hote,

Wahan bhi Khaak Hi hote Magar Khaak-e-Shifa Hote




Hum ne kab maani thi baat zamane ki,

Aaj humari baat maane zamana kyun,

Wo jungle ke phoolon per kyun marta hai,

Uss ko ache lagte hain veraane kyun,

MOHSIN Jab bhi chot nai kha leta hoon,

Dil ko yaad aate hain dost puraane kyun




Mila to aur bhi taqseem kar gaya Mujh Ko,

Sameittna theeN Jisey meri KirchiyaaN Mohsin,

Kahin se us ne bhi torra hai khud se Rabt-e-Wafa,

Kahin se bhool gaya Main Bhi DaastaaN Mohsin




AaSaIb ZaDa GhAr Ka Wo DaR HoOn MOHSIN,

DeEmAk Ki TaRhA KhA GaI JiS Ko DaStAk Ki TaMaNa





Aise badla hoon tere shehar ka paani Pee ker,

Jhoot bolun to nidaamet nahin hoti mujh ko,

Hai amanat mein khiyanat so kissi ki khaatir,

Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko,

Itna masroof hoon Jeene ki hawas mein MOHSIN,

Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh Ko





Itni Nafrat Na Kar Ajnabi Se K Waja-E-Mohabbat Ban Jaye Mohsin,

Habas Barh Jaaye Tou Aksar Barsaat Hua Karti Hai





Halaat ne torr diya kache dhaage kitarah Mohsin
Warna mere waaday bhi kabhi zanjeer huwa karte the





Mayyet Pe Meri Aye Hain Kuch Is Adaa Se Wo Mohsin,

Sab Un Pe Mar Mitte Meri Tadfeen Chor Kar





MujH kO HaLaAt Ki AanDHi nE GirAyA,

WarnA Mere SeEne Mein BHi kucH LoOG RaHa Karte THe,

HAi MujHE YaAD RaFaQat Ki wO GeHRAiyAn AB BHi,

DiL Ki DHarkaN BHi Teri SaAF SunA Karte THe,

Aaj MeHFiL Mein wO AnJaaN BaNnE BaitHE HAin,

JO KaBHi MujHE Apni JaAn KaHa Karte THe,

AB TarAsti HAin Teri DeEDH kO AankHEin MOHSiN,

Ek zAmAnA THa K Hum RoOz MiLa Karte THe





Yaad Aata Hai Sakoot-e-Shab Mein Woh Aksar Mujhe,

Khainch Laata Hai Mere Andar Se Woh Baahir Mujhe...!




Meri awargi mein kuch dakhal hai tumhara bhi Mohsin,

Tumhari yaad aati hai to acha nahin lagta



Mohsin Tum ne dekha hai kabhi Sehraa mein Jhulasta hua Darakht,

Issi Tarah Jeete hain wafaoon ko nibhaany waale




Thaka huwa hai wajood saara ye maanta hun Mohsin,

Magar Khayalon Se Koi Jaaye tou neend Aaye




Uss Ki Dehleez Pe Sadiyoon Se Khara Hoon MOHSIN,

Mujh Se Milne Ke Jo Lamhaat Gina Karta Tha





Yeh AAEENAY tujhe kia dainge teri Khabar MOHSIN
AA meri Aankhoon mein daikh ke tu kitna haseen hai




Chund Aehbaab Mughe Yaad Rahen Ge Mohsin,

Unn Mein Shaamil Woh Mera Zood Faramosh Bhi Hai




Kaam Kaaj aur Mizaaj kaisa Hai..

KaL to kaL tha Btao Aaj kaisa Hai..

Humare shehar mein Hain Mohabat Ke Dushman..

Tumhare shehar mein btao Riwaaj Kaisa Hai..

Uss ki Aawaz sun Loon to miLta hai Sakoon-e-dil..

Mere Ghum ka Dekho iLaaj kaisa hai..

Uss ki Meethi Baatein BhooL Sakta Nahin Kabhi..

MOHSIN teri awaz Ka Mohtaaj Kaisa Hai





Ruk hi Jaati hai Nazar Hadh-e-Nazar tak Mohsin,

Dil toh kehta Hai Jahan Tum ho Wahan Tak Dekhun