Thursday, February 25, 2010

Meri Zaat Zara-e-By-Nishaan

 

Meri Zaat Zarra-e-by-nishaan

main wo kis tarah se karun biyann
jo kiye gaye hen sitaam yahan
sunay kon meri ye dastaan
koi gham nasheen hay na razdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahan
nahi kholi maine magar zubaan
ye akela pan ye udasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan

meri zaat zarra-e-by-nishaan

kabhi sooni subha main ghoomna
kabhi ujri sham ko dekhna
kabhi bheegi ankhoon say jagna
kabhi beetay lamhoon ko sochna
magar ek pal hay umeed ka
mujhay khuda ka hay jo aasra
nahi maine koi gila kia
na he maine di hain duhaiyaan

meri zaat zarra-e-by-nishaan

main bataun kia mujhay kia milay
mujhay sabar he ka sila milay
kisi yaad he ki rida milay
kisi dard he ka sila milay
kisi gham ki dil main jagah milay
jo mera hay wo mujhay aa milay
rahay shaad yuun he mera jahan
kay yaqeen main badlay mera gumaan

meri zaat zarra-e-by-nishaan
meri zaat zarra-e-by-nishaan

Kisi Ki AankhOon May KhwaB LikhnA Tou Soch Lena

 

Kisi Ki AankhOon May KhwaB LikhnA Tou Soch Lena
Falak Pay Koi Sahaab Likhna Tou Soch Lena


Hain Roshni Kay Tamam Rasty Bujhy Bujhy Say
MusaFtOon Ko SaraaaB Likhna Tou Soch Lena


Main PaniYoOn Kay HusaaR May Hun Gumaa'n JazEera
Gar Iski BaBat KitaaB Likhna Tou Soch Lena


Main Dust-e-Furqat May Jalay KhaeMoOn Ko Dekhti Hun
Jhulastay Sahra Ko Aab Likhna Tou Soch Lena


Mery MuQaDder Ki Dhalti ShaKhOon Say Poch Lena
Badalti RuTt Ka AzaaB Likhna Tou Soch Lena


KhaLoOs-o-Maher-o-Wafa Ki RahaIn KaRri Hain
MuhaBbaToOn Ka NiSaaB Likhna Tou Soch Lena

tum apne Khat meN yuuN lafzoN kaa silsilaa rakhnaa


 

tum apne Khat meN yuuN lafzoN kaa silsilaa rakhnaa
har ek lafz kaa mafhuum duusraa rakhnaa


tumhaare lab kii mahek raaz faash kar degii
lifaafaa band na karnaa, yunhii khulaa rakhnaa


na itnaa TuuT ke miliye ke dil pe shak guzre
Khuluus meN bhii zaruurii hai faasilaa rakhnaa


maiN zindagii meN kahiiN tumse mil hii jaauuNgaa
magar ye shart hai, bicchaRne kaa hauslaa rakhnaa


ye soz-o-karb mujhe tajruboN ne bakhshaa hai
jalaanaa shamm'a to daaman se faasilaa rakhnaa

Talab (Mohsin Naqvi)



Talab

koajar na dun fikar-e-rahguzar na karun

Safar mein ab ke hawa ko bhi

hamsafar na karun

Ubharte duubte suraj se tod lun rishta

Main sham odh ke

soa jaaon aur sahar na karun

Ab is se badh ke bhala kya ho

ehtiyat-e-waffa

Main tere shehr se guzron tujhe khabar na karun

Ye mere

dard ki daulat meri maata-e-firaaq

In ansuon ki

wazahat mein umar bhar na karun

Ujad shab ki khalish ban ke ban mein kho
jaoon

Main chandni ki terha khud ko darbadar na karun

Vo ek pal ko dikhai
toh de kahin MOHSIN

Main jaan ganwa ke bhi uss pal ko mukhtasar na karun


Goya Andaz-e-Tazeem Hai

 

Goya Andaz-e-Tazeem Hai Ameeron JAisa

Mere Ander Ka HAi Insaan FAqeeron JAisa

Hum Ne Chehre Pe SAja RAkhi HAi Shehar Ki Ronaq

Mere Dil KA Aalam HAi Veeran JAzeeron JAisa

Uske Usaf-o-Khasaail

Ne Mughe Jeet Lia

Mere Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron JAisa

IS Se

Pehle Thi Aseeri bhi Rehaai JAisi

Ab Ke Aazaadi Mein HAi HAal Aseeron

Jisa

Usko Mohsin Ganwa Ke HAin Khasarey Ab TAk

Wo Jo Ik Shakhs Tha Mere

Sath MEin HEeron JAisa



Main jalwa e sudd rang hun (Mohsin Naqvi)




Main jalwa e sudd rang hun ya moaj e saba hun


Ehsas ki chokhat pe khara soch rha hun


Ikk jaam to pee lene de ay gardish e doraan


Phir tujko btata hun main kon hun kya hun 

Tum yaad kro pehli mulaaqat ki baatein


Main pehli mulaaqat zara bhool gaya hun 

So baar zamane ne mujhe zehar dia hai

So baar main sach bol ke Suqraat bna hun 

Aksar usse paa lene ki umeed mein MOHSIN

Khud apne liye raah ki deewaar bana hun

UMEED FAAZLI.............. ...

 



maqtl e jaa'n se ke zindaa'n se ke ghar se niklay
Ham to khusbo ki tarha niklay jidhar se niklay

gar qayamat ye nahi hai to qayamat kya hai
shahar jalta raha aur log na ghar se niklay

jane wo konsi manzil thi mohabbat ki jahaa'n
mere aanso be tere deeda e tar se niklay

dar badri ka hame'n taana na de ay chasm e ghazaal
dekh wo khuwaab ke jis ke liye ghar se niklay

mera rahbar hua kya kya na pashemaan ke jab
us ke naamay mere asbaab e safar se niklay

barsar e dosh rahay ya sir e neeza ya Rub
Haq parasti ka soda na kabi sir se niklay


Tera Naam

 

Hum nay ulfat ka bharaam sub say juda rakha hay
goya seenay main tujhay dil ki jaga rakha hay

Dil ye chahay kay tu kabhi badnaam na ho
dekh zikr tera hay magar naam chupa rakha hay

Mere jis hath say kiya tha tu nay musafha
dhoya he nahi hoonton say laga rakha hay

Ab main samjha tere rukhsar pay til ka matlab
dolat-e-husn pay darbaan bitha rakha hay

tu to is basti se khush khush chala gaya , or mein ...?? (Ahmed Faraz)


 

shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein
tu to is basti se khush khush chala gaya , or mein ...??

tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
apas mein kya batein kertey raat, diya or mein

sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai
teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein

jisko dkeho teri hava mein pagal phirta hai
werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein

aik to wo humraz mera hai phir tera maddah
bas tera hi ziker kya kertey hein Zia or mein

aik zamaney bad 'Faraz' ye shair kahey meine
ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa (Amjad Islam)


 

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !

kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu'aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa

jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu'aa jo hamse zamaanaa badal gayaa

qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa

ko'ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

uThTh kar chalaa gayaa ko'ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

kahne ko ek seh'n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taa'biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
"Amjad" ye kaun shah'r kaa naqshaa badal gayaa

(Amjad Islam Amjad)

terii zulfoN ke bikharne kaa sabab hai ko’ii


 

terii zulfoN ke bikharne kaa sabab hai ko'ii
aaNkh kahtii hai tere dil meN talab hai ko'ii




aaNch aatii hai tere jism kii uryaanii se
pairahan hai ke sulagtii hu'ii shab hai ko'ii




hosh uRaane lagiiN phir chaaNd kii ThanDii kirneN
terii mastii meN huuN yaa Khvaab-e-tarab hai ko'ii




giit buntii hai tere shah'r kii bharpuur havaa
ajnabii maiN hii nahiiN tuu bhii ajab hai ko'ii




liye jaatii haiN kis dhyaan kii lahreN "Nasir"
duur tak silsilaa-e-taak-e-tarab hai ko'ii

Thursday, February 18, 2010

Khuda K Banday Shambal Aankhein.......!!!!




Yeh Mast Mast Be-misal Aankhein,
Nashay Se Har Dam Nidhal Ankhein,

Uthein Toh Hosh-o-Hawas Cheenen,
Giren Toh Kar Den Kamal Aankhein,

Koi Hai In Karam Ka Talib,
Kissi Ka Shok-e-Wisal Aankhein,

Na Yun Jaleyein Na Yun Satayein,
Karein Toh Kuch Yeh Khayal Aankhein,

Hain Jeenay Ka Ik Bahana Yaaro,
Yeh Rooh Parwar Jamal Aankhein,

Draz Palkein Ghazal Aankhein,
Muswari Ka Kamal Aankhein,

Sharab RAB Ne Haram Kar Di,
Magar Hain Rakhi Halal Aankhein,

Hazaron In Se Ab Qatal Hongay,
Khuda K Banday Shambal Aankhein.......!!!!

Betho Mere Paas Yun Mujhse Parda Na Karo.....!!!!


 

Pyaar Se Pyaar Karo Pyaar Ko Ruswa Na Karo,
Meri Toh Aadat Hai Tum Khud Ko Afsurda Na Karo,

Meri Bahon mein Chalay Aao Dartay Kyun Ho,
Gehrai Hai Buhat Dil Mein Yun Jhanka Na Karo,

Main Toh Aashiq-e-Deedar Hon Koi Rehzan Toh Nahi,
Betho Mere Paas Yun Mujhse Parda Na Karo,

Kon Chalta Hai Taman Umer Hi Sath,
Laikin waqt Se Pehle Toh Khud Se Juda Na Karo,

Badalon Ki Bhi Tum Ko Nazar Lag Saqti Hai,
Tang Qaba Ho Toh Barish Mein Nahaya Na Karo,

Bijliyan Girti Hain Kitnay sada Dilon par,
Aise Pe Parda Sehan Mein Aya Na Karo,

Tum Kya Jano Yeh Dil Ki Lagi Kya HOti Hai,
Kissi Masoom Se Yun Khaila Na Karo,

Dekho Nazuk Tumhari Ungliyan Buhat,
Inse Pholon Ko Yun Masla Na Karo,

Sham Dhalay Woh Pirota Hai Gham Apnay,
Tabassum Har Roz Usay Yun Mila Na karo.....!!!!

Aankh se doOr na ho (Ahmed Faraz)





Ya Soch Raha hoon Isey Khaat Main Likhoon Kia...?





Akhir gunahgar hun kafir nhi hun men (GHALIB)




Dayem paida hua tere darr pr nhi hu men....@
khaak aisi zindgi pe k pathar nhi ho men....@
~~~~~~~~~~~~


kiyun Gardish e madaam se ghebra na jai dil....@
insaan hun piyaala o sagar nhi hun men.....@
~~~~~~~~~~~~


ya rab zamana mujko mita he kis lye....?
loh e jahan pe huruf e muqarar nhi hun men...@
~~~~~~~~~~~~


had chahiye saza me aqobat k wastey.....@
akhir gunahgar hun kafir nhi hun men....@
~~~~~~~~~~~~


rakhty ho tm qadam meri ankho'n so kiyun daraigh....?
rutbey me meher o maah se kamter nhi hun men....@
~~~~~~~~~~~~


GHALIB wazifa khuar ho, do shah ko dua.....@
wo din gai k kehty thy k nouker nahi hun men....@


us ko bhi bachana



us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai

aik simt hai zaat apni aik simt zamana hai


hum se na koi uljhe hum log hain deewane


andhi se hamen zid hai aik deep jalana hai


hum dono ko banta hai darya ke kinaron ne


is simt bhi rehna hai us simt bhi jana hai


ye ishq to fitrat hai kese ho juda mujh se


ye rog hai matti ka aur sadiyon purana hai


basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein


itna jo kaha main ne aik shahar basana hai


aik ankh hai sehra to aik ankh samandar hai


kya janye is dil mein kis kis ko samana hai


kehne ko bohat kuch hai, ai saad magar hum ne


aik wada nibhana hai aik dard chupna hai

Nazam Mera Dil Ye Chahat Hai ..ward bazmi



"Masoom Parinda"




"Masoom Parinda"


Wo Parinda Jo Pair Pe Tanha Betha Tha
Jane Kis Soch Mein Doba Kya Kuch Soch Raha Tha
Duniya Ki Soch Se Mawara
Logoun Ki Bheer Se Aalag Thalag
Tanhai K Shano Pe Sar Rakh Ker
Aur Raat Ki Tanhai Ko Apne Uper Urh Ker
Chand Ko Apna Dost Banaye Jane Kya Kuch Bata Raha Tha
Lafzon K Jal Mein Ulajh Ker Wo
Kabhi Kehta Kabhi Rukta Kabhi Hans Deta
Kabhi Monh Chupaye Chanda Se Dhere Dhere Ro Deta
Dekh K Us Ko Laga Youn Mujhe
Shayed . . .
Ye Bhi Ek Qaidi Ho Her Raat Ki Tanhai Ka.

Tum Mohabbat Bhi Mausam Ki Tarha



Tum Mohabbat Bhi Mausam Ki Tarha Nibhatey Ho

Kabhi Barastey Ho Kabhi Ek Bondh Ko Tar`satey Ho

Pal Mein Kehte Ho Zamaney Me Faqat Tere Hain

Pal Mein Izhaar-e-Muhabbat Se Muqar Jatey Ho

Bhari Mehfil Me Dushmano Ki Tarah Miltey Ho

Aur Duaaon Me Mera Naam Liye Jate Ho

Deyaar-E-Ghair Me Mujh Ko Talash Karte Ho

Miloon To Paas Se Chup Chaap Guzer Jatey Ho


Kab Yaad Main Tera Saath Nahi (Faiz Ahmed)


 

Mujhe Wid'a Kar






 

jane tu kis alam main bichara hai ki tere bagair



muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka
bat kar tujh par guman hone laga tasvir ka


rat kya soye k baqi umr ki nind ur gai
Khvab kya dekha ki dharka lag gaya tabir ka


jane tu kis alam main bichara hai ki tere bagair
aj tak har lafz fariyadi meri tahrir ka


jis tarah badal ka saya pyas bharakta rahe
main ne vo alam bhi dekha hai teri tasvir ka


kis tarah paya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhi to qail ho gaya taqdir ka


ishq main sar phorna bhi kya k ye be-meher log
ju-e-Khun ko nam dete hain ju-e-shir ka


jis ko bhi chaha use shidat se chaha hai 'Faraz'
sil-sila tuta nahin dard ki zanjir ka

Tere yaadon ke bina...







Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahi,
Ek pal Nahi jab Tumhe Humne Pukaara Nahi,

Meri Nakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye,
Agar aap Jeete Hai to Main Haara Nahi,

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se,
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahi,

Tere bin Yun Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahi,

Kar Rakha Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala,
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahi,

Kis ko Gale Laga Ke Roye Na-Muraad Hum,
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahi,

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab,
Gehre Hai Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahi,

Woh aa Ke Poonch De Aansu Hamari Aankhon Se,
Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahi..!!!nm

Wednesday, February 17, 2010

pani ki ik ik bond

pani ki ik ik bond ko

sukun ki ik rat ko turus gai hon main
ghumon ka bekuran sumunder bun gai hon main

sehra sehra khack chanti hon is terha
pani ki ik ik bond ko tarus gai hon main

ruktey nahen ub ankhon sey behtey moti
ansowun key sumunder main doob gai hon main

dukh ki leher ney lupait main lya hey is terha
zindagi main apni hi hunsi ko turus gai hon main

kisi key sawal ka kia jawab don ub
khud hi sawaliya nishan bun gai hon main

kisi ki dunya main shamil ho jaon kis terha
khud apney hi kafley sey bhichur gai hon main .

Abhi kuch dair baki ha

Abhi kuch dair baki ha

Khiza’n k beet jane mai

Gulo’n k muskurane mai

Khushi k geet gane mai

Baharo’n k zamane mai

Abhi kuch dair baki hy

Mai tum ko bhool jao’n ga

Na um ko yad ao’n ga

Mai tum se door reh kar b

Tumhai’n jee kar dikhao’n ga

Tumhai’n maloom hy lekn

Ye sab mai kar na pao’n ga

K tum ko bhool jane mai

Abhi kuch dair baki hy

Shaoor me kbhi (Ahmed Nadeem Qasmi)

Shaoor me kbhi, ehsaas me basaaun usey...
magar chaarun tarf ne hijaab paaun usey..

usey bhula k mila umer bhr ka sannata..
magr ye shouq he ik baar bulaaun usey..

andhri raat me jb raasta nhi milta...
me sochta hun kaha ja k dhund laaun usey..

abhi tak uska tassuvur to merey bs me he..
wo dost he to khuda kis lye banaaun usey..

NADEEM tark e muhabt ko ek umr hui...
me abhi bhi soch raha hun bhul usey

Thursday, February 11, 2010

zindagi ka name ha mohabat


Kabhi zindagi ka name ha mohabat

kabhi mout ka pagham hay mohabat

kabhi mohabat se milti hay khushi

kabhi gham ki sham hay mohabat

kabhi mohabat aansoun ki barish hy

kabhi hansi ka jaam hay mohabat

kabhi hay mohabat dil ki jalan

kabhi dil ka aaram hay mohabat

kabhi mohabat hay Milan ka roop

kabhi tanhai ki tarhan be naam hay mohabat

kabhi mohabat hay be naam zindagi

kabhi zindagi kehti hay mera name hay MOHABAT

Maqroz k bigrey hoe halat ki manind

Maqroz k bigrey hoe halat ki manind
Majb0r k hont0n k sawalaat ki manind,

Dil ka teri chahat main ajab haal h0a hay
Selaab se barbad makanat ki manind,

Main un main bhtaktey hoe jugn0 ki tarhan hon
Us shaks ki aankehn hain kisi raat ki manind,

Dil r0z sajata h0n main dulhan ki tarha se
Ghum r0z chale ate hain baraat ki manind,

Ab ye bhi nahi yaad hay kia naam tha us ka
Jis shakhs ko manga tha manajaat ki manind,

Kis darja muqadas hay tery qurb ki khwahish
Maso0m se bachey k khyalat ki manind,

Us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hay
Main pyas ka sehra 0r w0 barsaat ki manind..!

Yunhi rajnishon main guzar gaye…!


Yunhi rajnishon main guzar gaye…!

Kabhi wo khafa…!

Kabhi main khafa…!

Chahton k mor per…!

Kabhi wo ruka…!

Kabhi main ruka…!

Wohi rastey wohi manzilen…!

Na usy khabar…! 

Na mujhe pata…!

Apni apni ana main gum…!

Kabhi wo juda…!

Kabhi main juda…!

Sunday, February 07, 2010

Apni ruswai (Parveen Shakir)


Apni ruswai main terey naam ka charcha dekhoun
Aik zara sher kahoun aur kiya kiya dekhoun

Neend ajayetu kiya mehfilen berpa dekhoun
Ankh khul gaye tu tenhayi ka sehra dekhoun

Sham bhi ho gayi dhundla gayi ankhen meri
Bhoolney waley’ kab tak tera rusta dekhoun

Ik ik kerkey chor gayen sab sukhiyan
Ag main khud ko teri yaad main tunha dekhoun

Kash sandal sey meri mang ujaley aker
Itney gheron main’ wahi hath apna dekhoun

Tu mera kuch nahin lugta mager jan-e-hayat
Janey kiun terey liye dill ko dherkta dekhoun

Band kerkey meri ankhen shrarat sey
Bhoojey janey ka main her rooz tamasha dekhoun

Sab zidden main usski puri keroun’her baat suno
Aik bachey ki terhan us ko hansta dekhoun

Muj pey chah jaye bersat ki khusboo ki terhan
Ung ung main uski ruut main mehkta dekhoun

Phool ki terhan merey jism ka her lub khul gaye
Pankhri pankhri un hoton ka saya dekhoun

Main ney jis lamhey ko pooja hai’ aik bar
Khuwab ban ker teri ankhon main uterta dekhoun

Tu meri terhan yakta hai aye merey habeeb !
Jee main ata hai’koi aur bhi tuj sa dekhoun

Tootjayen key pighal gayen merey kachey gharey
Tujh ko main dekhoun ya aggh ka derya dekhoun

Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf (Parveen Shakir)


Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
Terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai

Tere badalne ke baa-vajuud tujhko chaahaa hai
Ye ai’tiraaf bhii shaamil mere gunaah meN hai

Azaab degaa tou phir mujhko Khwaab bhii degaa
MaiN mutma’iin huN, meraa dil terii panaah meN hai

Jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye
Vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai

Yahii vo din the jab ek duusre ko paaya thaa
Hamaarii saalgiraah thiik ab ke maah meN hai

maiN bach bhii jaauuN tou tanhaa’ii maar daalegii
mere qabiilaa ka har fard, qatl-gaah meN hai
 

ab kaisi parda daari (Parveen Shakir)


ab kaisi parda daari , khabar aam ho chuki
maa ki rida tu din howe neelam ho chuki

ab aasmaa.n sey chadar-e shab aay bhi tu kiya
be-chadari zameen pe ilzaam ho chuki

ujrey howe diyaar pe phir kyu nigah hai
is kasht pe tu barish-e ikraam ho chuki

soraj bhi us ko dhondh k wapas chala gaya
ab hum bhi ghar ko lout chalain shaam ho chuki

shimley sanbhaltey hi rahey maslehat passand
hona tha jis ko piyaar main bad-naam ho chuki

aankhain hain a ur subha talak tera intezaar
mishal bad'dast raat terey naam ho chuki

koh-e nida sey bhi sukhan utrey agar tu kiya
na-sameoo.n main hurmat-e ilhaam ho chuki

Parveen Shakir

Hamaray Dermiyan (Parveen Shakir)


Hamaray Dermiyan Aysa Koi Rishta Nahi Tha 

Tayray Shanoun Pay Koi Chatt Nahi The

Mayray Zimmay Koi Aangan Nahi Tha 

Koi Waada Tayri Zanjeer-e-Pa Bannay Nahi Pata 

Kisi Iqraar Nay Mayri Kalaii Ko Nahi Thaama 

Hawa-e-Dasht Ki Manind 

Tu Aazab Tha

Rastay Tayri Marzi K Tabay Thaay 

Mujhey Bhi Apni TanhaE Pay 

Dekha Jaey Tou 

Poora Tasarruf Tha 

Mager Jab Aaj Tu Nay

Rasta Badla 

Tou Kuch Aysa Laga Mujh Ko 

K Jaysay Tu Nay Mujh Say Bay-WafaE Ki...

khuli aankh mein sapna (Parveen Shakir)


khuli aankh mein sapna jhaankta hai
wo soya hai ke kuch kuch jaagta hai

teri chahat ke bheege junglon mein
mera tan, more ban kar naachta hai

mujhe har kaifiyat mein kyun na samjhe
wo mere sab hawale jaanta hai

main uski dastaras mein hon, magar wo
mujhe meri raza se maangta hai

kisi ke dhyaan mein dooba hua dil
bahane se mujhe bhi taalta hai

sarak ko chore kar chalna parega
ke mere ghar ka kaccha raasta ha.

Mujhe Ek Raat Nawaz De (Parveen Shakir)

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,

Magar Uske Baad Saher Na Ho 

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,


Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein

Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,

To Dua Mein Meri Asar Na Ho 

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,


Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke

Yun Hi Saath Saath Chalein sada,

Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,


Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,

Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,

Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho

Main tumharay aks ki aarzoo mein (Parveen Shakir)


Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi

Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai

Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei

Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei

Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi

To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

Mai chup raha keh (mohsin)


Mai chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha
Wo sang-e-lafz phaink kar kitna udaas tha

Aksar meri qaba pay hansi aa gai jissay
Kal mill gaya toh wo bhi dareeda libaas tha

Mai dhoondhta tha door khalaaon mai ek jism
Chehron ka ek hajoom meray aas paas tha

Tum khush they patharon ko khuda jaan kar magar
Mujh ko yaqeen hai wo tumhaara qayaas tha

Bakhsha hai jis nay rooh ko zakhmon ka perahan
*Mohsin* wo shakhs kitna tabiyat shanaas tha...

mohsin naqvi

عذاب دید میں آنکھیں لہو لہو کر کے
میں شرمسار ھوا تیری جستجو کر کے

کھنڈر کی تہ سے بریدہ بدن سروں کے سوا
ملا نہ کچھ بھی خزانوں کی آرزو کر کے

سنا ھے شھر میں زخمی دلوں کا میلہ ھے
چلیں ھم بھی مگر پیرھن رفو کر کے

مسافت شب ھجراں کے بعد بھید کھلا
ہوا دکھی ھے چراغوں کو بے آبرو کر کے

زمیں کی پیاس اسی کے لہو کو چاٹ گئی
وہ خوش ھوا تھا سمندر کو آب جو کر کے

یہ کس نے ھم سے لہو کا خراج پھر مانگا
ابھی تو سوئے تھے مقتل کو سرخرو کر کے

جلوس اھل وفا کس کے در پہ پہنچا ھے
نشان طوق وفا زینت گلو کر کے

اجاڑ رت کو گلابی بنائے رکھتی ھے
ھماری آنکھ تیری دید سے وضو کر کے

کوئی تو حبس ہوا سے یہ پوچھتا محسن
ملا ھے کیا اسے کلیوں کو بے نمو کر کے

Woh musafir (mohsin)


Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliq...
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay

na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho!
Aaina khaal o khad e aania gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein
Woh tu hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

Mausam-e-karb-e-intizar (mohsin)


Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot
Dill na manay tu vasl-e-yaar bhi jhoot

Jhoot hay sab khizaan ka khamyaza
Aks-e-rang-e-rukh-e-bahar bhi jhoot

Maut, teri talab bhi laghzash-e-lab
Zindgy , tera aitibaar bhi jhoooot

Wos’at-e-daastaan-e-shauq , ghalat
Koshash-e-harf-e-ikhtsar bhi jhoot

Khalqat-e-shehr maslihat peshaaa
Warna farman-e-shehr-e-yaar bhi jhoot

Na rasae ko rastay mushkil !
Koor chashmi ko kohsaar bhi jhoot

Door say piyar ko sarab, chanab
Ahl-e-sehra ko aabshaar bhi jhoot

Dastras ka tlism hay warna
Sa’at-e-jabr-o-ikhtiyar bhi jhoot

Perahan khon-e-dill mein tar kar lo
Warna daman-e-taar taar bhi jhoot

Sirf uss ka safar hay sach MOHSIN
Meri raah bhi mera ghubar bhi jhooot

Saja ke sar pe sitaroon ka taaj (mohsin)


Saja ke sar pe sitaroon ka taaj rakhta hai !
Zameen pe wo bhi falak ka mizaaj rakhta hai

Sanwrnay walay sada ainay ko dhondhtay hein
Bichar ke wo bhi meri ehtiyaaj rakhta hai

Hum uss ke husn ko taskheer kar ke dekhein ge
Jabeen pe kaun shikan ka khiraaj rakhta hai

Teray bagher yahan kaun zeer-e-saya-e-lab
Jaraht-e-dil-o-jaan ka ilaaj rkhta hai

Khafa sai who , sakhawat sarisht jab bhi milay !
Bharam ana ka , muhabbat ki laaaj rakhta hai

saba khiraam , khizaan perahan , bahar badan
Wo mausamoon ka ajab imtizaaaj rakhta hai

Chura ke aankh se kuch khuwaab rakh liay MOHSIN
Kisaaan jesay bacha kar anaaaj rakhta hai

Tum Kahan Ho Meray Yaroo (mohsin)


Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi 'Mohsin' Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Aankhain khuli rahain gi to (mohsin)


Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi ayengai
Zinda hai dil to aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel ke paani ko yun na chairh
Cheenthay uray to teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mein
Sheeshay chamak rahe hain to pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht se fursat nahi — magar!!
Niklay safar pe hum to teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pe khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…

teri aankhein (mohsin)

Image

Barg e sehrah (mohsin)

Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin


Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,

Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin

Ho Gaya Jab Ya Yaqeen Ab Wo Nahi Aye Ga
Aanson Aur Gham Nay Diya Dil Ko Sahara Mohsin

Woh Tha Jab Pass To Jeenay Ko Bhi Dil Karta Tha
Ab Tu Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin

Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!

UjjrReY howEy LogoOn Se (mohsin)


UjjrReY howEy LogoOn Se GuRezaAn NaA howaA KaR
HaAlaAt Kii QabbRoOn k yE KatbEy B ParrhaA KaR

KiA JanYe..! Kiun TaizZ HaWaA SoOch MaIn GumM Haii…?
KhaWaABeEdaA PaRiindoOn KoO DarakHtoOn Se URRaA KaR

UsS ShakS k TuM Sse MaRaAsiM Hai, ToO hoOn gEy……..
WoO JhoOtt NaA BoLEy GaA mErE SaAmnEy aAA KaR

Ab DasTakaIn dE gaA toO KahAn Ay GhaM-E-AhbaAb……..!
MaIneY toO KaHa Tha K mErE DiL MaI RaHaA KaR

HAr WaQtt Ka HanSnaA TUjHeY BarBaAd NaA Kar DeY
TanHai K LamHoOn Mai Kabhii RoO B LiYaA KaR

WoO Ajj B SaDyoOn Ki MuSaAFaT Par KhaRRaA Hai
DhoOnDaA Tha JiSeY WaQT Ki DiWaAr GiRaA KaR

BaRhAm NaA Ho KaM Fehm-i-KoOtaAH NazZRaAn Par…..!
Ayy QasSiit-E-FaN, Apni BuLanDii KaA GilaA KaR

Ayy DiL TujjHeY DuShmAnoOn Ki B PeHcHaAn KahAn Hai…?
ToO HaLQA-E-YaAraAn Mai B MohTaT RahA KaR

Mai MAR B ChUkaA, MiL B ChuKaA MoOjj-E-HaWaA Mai
Ab Raitt K SeEneY Pe meRa NaAm LikHaA KaR

PeHLaA SaA KahAn Ab MeRii RaFTaAr Ka aALAm…!
Ayy GarDiiSh-E-DoRaAn zZaRaA THAM THAM k ChaLaA KaR

iS RuT Mai KahAn PhoOL KHiiLaiN geY DiL-E-NaAdaAn…?
ZaKhmoOn koO Hii WaBasSTa-E-zZanjjeeR-E-SabaA KaR

iK RoOhh Kii FaRyaAd nEy ChonKaA DiaA Mujh koO
ToO Ab To MujjHey JiiSM K zZiiNdaAn Sey ReHaA KaR

IsS ShAbb K MuQaDDaR Mai SaHaR Hii NaHii MOHSIN
DaiKhaA Hai Kaii BaAr CHARaAGhoON KoO BhujjaA KaR

Main dil per jabbar karon ga (mohsin)

Image

Ojrry Hoey Logon Se (mohsin)


Ojrry Hoey Logon Se Gurezaan Na Raha Kar

Halat Ki Qabroon K Katby Bhi Parrha Kar

Keya Janiye Keun Taiz Hawa Soch Me Gum He

Khabeeda Parindoon Ko Darakhton Se Orra Kar

Os Shakhs Se Tum Se Bhi Marasim Hein To Hongy

Wo Jhoot Na Boly Ga Mere Samny Aa Kar

Ab Dastakein De Ga Too Kahan Ae Gham E Ahbab

Mein Ne To Kaha Tha K Mere Dil Me Raha Kar

Har Waqt Ka Hansna Tujhy Barbad Na Kar Dy

Tanhai K Lamhoon Me Kabhi Roo Bhi Liya Kar

Wo Aj Bhi Sadyon Ki Musafit Pe Kharra He MohSin

Dhonda Tha Jisy Waqt Ki Deewar Gira Kar
 

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan (mohsin)

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
Jaisy Mahtab Ko Beant Samondar Chahy
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utry
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahy

Jaisy Pathar K Kalaijy Se Kiran Phootti He
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangty Hein
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti He
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein

Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga
Wosat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki He
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki He

Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Ne
Teri Palkon Pe Otarti Hoi Sobhon K Liye
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne

Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey
Mein Ne Chaha K Mere Fun K Gulistan Ki Bahar
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey

Tey To Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal
Mere Khamosh Kheyalon Me Takalum Tera
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar
Meri Khahish K Jazeeron Me Tabasum Tera

Too Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Too Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki

Tujh Ko Ehsas Hi Kab He K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota He
Too K Seemab Tabiyat He Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota He

Tony Os Morr Pe Torra He Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan
Ab Ye Aalam He K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janan
You Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya He
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan

Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan