Tuesday, February 02, 2010

Koi aaya hi nahin .........

mere darwaaze tak aaj phir koi aaya hi nahin
tanhaiyon ke siwa kisine mujhe apnaaya hi nahin


roshni bhi mujhse khafa hai aaj kuch is qadar
hoon tanha yun; nazar me mere koi saaya bhi nahin
tanhaiyon ke siwa kisine mujhe apnaaya hi nahin


maut se utna khauff nahin jitna zindagi ka hai
in uljhi saanson ko jhelna mujhe kabhi aaya hi nahin
tanhaiyon ke siwa kisine mujhe apnaaya hi nahin


khud ko chod aaya main pichli ghadiyon me kahin
kuch yun khoya;phir khud ko dhoondh paaya hi nahin
mere darwaaze tak aaj phir koi aaya hi nahin


ek aahat ko tarasta hoon is khamosh aalam me baithe
sadiyaan guzre magar mujhe kisine bulaaya hi nahin
mere darwaaze tak aaj phir koi aaya hi nahin
                    rAnA Ta$liM

No comments:

Post a Comment