Tuesday, February 02, 2010

Dua Karna.........

milain phir aa kay isi morr per dua kerna
kara hay ub kay hamara safer dua kerna

diyar-e-khawab ki galiyo'n ka jo bhi nuqsha ho
makeen-e-shahar na budlain nazar dua kerna

charagh-e-jaa'n pe iss aa'ndhi main khairiyat guzrey
koi umeed nahi hay magar dua kerna

tumharay baad mere zukhm-e-narsaiee ko
na ho naseeb koi charaagur dua kerna

musafatoo'n main na azaar jee ko lug jaey
mizaaj daa'n na milain humsafer dua kerna

dukhoo'n ki dhoop main daman kasha milain saayee
haray rahain yeh talab kay shajer dua kerna

nishaat-e-qurb main aaiee hay aisie neend mujhay
khulay na aa'nkh meri umer bhar dua kerna
[
AITEBAR SAJID]
                                 

No comments:

Post a Comment