Thursday, April 01, 2010

YEHI WADA LIYA THA NA?? -Arshad Malik

YEHI WADA LIYA THA NA??

HAMESHA KHUSH HI REHNA HAI...

LO DEKHO..DEKH LO AA K

MERI AANKHON KO DEKHO TUM

YE KITNI SHOKH LAGTI HAIN

MERAY HONTON KO DEKHO TUM

HAMESHA MUSKURATAY HAIN

KOI BHI GHAM AGAR AYA

USY HANS KR SAHA MAINE

MERAY CHEHRAY KO DEKHO TUM

HAMESHA PURSUKOON HO GA

KIYA THA MAINE JO TUM SE

WO WADA KARDIYA PURA

MAGAR EK BAAT HAI PYARAY

KABHI JO WAQT MIL JAYE

TO MERI SHAYERI PARHNA

TUMHEN MEHSOOS TO HO GA

KAHIN TALKHI BHARA LEHJA

KAHIN PE DARD KI JHEELAIN

KAHIN LEHJAY KI KRWAHAT

SUNO! MAIN KHUSH TO HON LEKIN SAGAR

MERA HAR LAFZ ROTA HAI..

Main ne dekha tha-mohsin naqvi


Main ne dekha tha un dino mien usse

jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lehja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us ke
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zuban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon mien usse

Main ne dekha tha un dino mien usse

sari ankhien thein aainay uske
saray chahroon mien intekhab tha wo
ye khawab hai ke wo haqeqat tha
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
sab se ghul mil ker ajnabi rahna
ek darya numa sarab tha wo
apni neendien usi ki nazr hoein
meine paya tha ratjagoon mein usse

Main ne dekha tha un dino mien usse

jab wo hans hans ke baat karta tha
dil ke khemay mein raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon mien usse

Main ne dekha tha un dino mien usse

ye magar daer ki kahani hai
ye magar door ka fasana hai
us ke mere milaap mein haail
ab to sadiyon bhara zamana hai
ab to yeh ke haal apna bhi
dasht e hijran ki shaam jesa hai
kia khabar in dino wo kesa hai??

Main ne dekha tha un dino mein usse !

hamara kiya hai - mohsin naqvi


humara kya hai ke hum to chiragh-e-shab ki tarah
agar jale bhi to bas itni roshni hogi
ke jaise tund andheron ki raah mein jugnu
zara si der ko chamke, chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisi ko na kuch sujhaayi de
na shab katay na suragh-e-sahar dikhayi de
humara kya hai ke hum to pas-e-ghubaar-e-safar
agar chale bhi to bas itni raah taye hogi
ke tez hawaaon ki zard maa_ill naqsh-e-qadam
zara si der ko ubhre ubhr ke mit jaaye
phir us ke baad na raasta na rah_guzar milay
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay
humari simt na dekho ke koi der mein hum
qabila-e-dil-o-jaan judaa honay walay hain
basay basaaye huye shahar apni aankhon ke
misal-e-khana-e-weeraan ujarhnay walay hain
hawa ka shor ye he hai to dekhtay rahna
humari umar ke khemein ukharnay walay hain...

Main aaray tirchay khayaal sochoon (mohsin naqvi)

Main aaray tirchay khayaal sochoon
k be-irada kitaab likhoon
koi shanaasa ghazal tarashoon
k ajnabi intesaab likhoon
ganwa doon ik umer k zamaanay
k aik aik pal ka hisaab likhon
meri tabiyat per munhasir hai
main jis-tarah ka nisaab likhoon
yeh mere apne mizaaj per hai
azaab sochon sawaab likhon
taweel tar hai safar tumain kia ?
magar tumhain kia k tum to kab se
mere iraday ganwa chukay ho
jala k saaray horoof apnay
meri duain bujha chukay ho
main raat orho'n k subah pehnoon
tum apni rasmain utha chukay ho
suna hai sab kuch bhula chukay ho
to ab mere dil pe jabar kesa
yeh dil to had se guzar chuka hai
guzar chuka hai magar tumhain kia
teher chuka hai magar tumhain kia
main jis tarah k bhi khwaab likhoon ...

Yeh pichlay ishq ki baatein hein (mohsin Naqvi)


Yeh pichlay ishq ki baatein hein
jab aankh mein khwaab damaktay thay
jab dil mein daagh chamaktay thay
jab palkein sheher ke rastoon main
ashkon ka noor lutatee thein
jab saansein ujlay chehron ke
tan-man mein phool sajati thein
sochon mein bhanvar par jaatay thay
jab aik talatum rehta tha

apnay be-ant khayalon mein
har ehad nibhaanay ki kasmain
khat khoon se likhnay ki rasmain
jab aam thein hum dil walon mein
ab apni ujree ankhoon mein
jitni roshan si raatein hein
us umer ki sab soughaatein hein
jis umer ke khwaab khayaal huye
woh pichlii umer thi beet gaii
woh umer beetay saal huye

ab apni deed ke rastay mein
kuch rang hai guzray lamhon ka
kuch ashk ki baraatein hein
kuch bhoolay bisray chehray hein
kuch yaadon ki barsaatein hein
yeh sab pichlay ishq ki baatein hein

Chalo Choro- BY MOHSIN NAQVI


CHALO CHORO

Muhabbat jhoot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikaar logon ka

Talab sookay huway patton ka baironuq jazeera hai

Khulish deemuk-zuda awraaq pur boseeda sutron ka zakheera hai

Khumaar-e-wusl tuptee dhoop ke seenay pe Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish

Ghubar-e-Hijr sehra main sarabon say atey mosum ka khamyaza
..

..

..

..

CHALO CHORO

Ke ab tuk main andhairon ki dhumuk main saans ki zarbon pe

Chahut ki bina ruk kar safar karta raha tha

Mujay ihsas hi kub tha

Ke tum bhee mosumon ke saat apnay peruhun kay rung badlogi

..

..

..

..

CHALO CHORO

Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they

Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar jum gaye hongay

Tumharee unglion ki nurm porain puthuron pe naam liktee thee mera laikin

Thumharee unglian tho aadtun ye jurm karthee thee

..

..

..

..

CHALO CHORO

Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai
Sadion say

..

..

..

..

CHALO CHORO

Mera hona nu hona ik barabar hai

Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do

Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do

meray khwabon ko murnay do

nuyee tasweer daiko

phir naya maktoob liko

phir nuye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho

meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo

meree yaadon say kuchey raabitay torho
..

..

..

..

CHALO CHORO

muhabbat jhoot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka

Us ne phir maira haal poocha hay

Us ne phir maira haal poocha hay
Kitna mushkil sawaal poocha hay

Hichkiyon ka ajeeb lehja tha
Baat ko taal taal poocha hay

Tum mujhe choR to na jaao ge
Waaste daal daal poocha hay

Aansuuon ki zubaan ma' us ne
Jitna poocha kamaal poocha hay

Kya kabhi mil sakein ge hum donon
Mujh se maira khayaal poocha hay

Ajab Pagal Si Larki Hai

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?