Thursday, January 28, 2010

Kisi ki aankh sey sapney.....

Kisi ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta

Mandiron sey chiragon ko bujha kar kuch nahi milta


Koi aik aadh sapna ho to phir accha bhi lagta hay

Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta


Yeh accha hay Kay aapas Kay bharam na tootne payein

Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

                    rAnA Ta$liM

Tuesday, January 26, 2010

Bhulanay K Baad.....!!!!






Humne Yaad Kiya Buhat usay Bhulanay K Baad,
Woh Phir Rooth Gaya Humse Mananay K Baad,

Uskay Dil Mein Thi Adawat Mere Liye,
Main Toh Khust Tha Usay Apnanay K Baad,

Pehle Toh Karta Tha Buhat Pyaar Ki Baatein,
Phir Rulaya Bhi Buhat Usne Mujhe Hasanay K Baad,

Muhabbat Karta Tha Woh Mujhse Waqat Guzari K Liye,
Apna Liye Kissi Aur Ko Us Ne Mujhe Thukranay K Baad,

Koi Kissi Ka Nahi Banta Is Duniyan Mein,
Darakht Bhi Gira Detay Hain Pattay Sookh Janay K Baad.......!!!!

Mohabbat k smandar me.....



Jab kabhi toot ke bikhro ge to.....

 

tum merii aankh ke tevar na bhulaa paao ge
ankahii baat ko samajho ge to yaad aaoon gaa


ham ne khushiyon kii tarah gham bhii ikatthe dekhe
safaah-e-zeest ko palato ge to yaad aaoon gaa


isii andaaz main hote the mukhaatib mujh se
khat kisii aur ko likho ge to yaad aaoon gaa


sard raatoon ke mahakate hue sannaatoon main
jab kisi phool ko choomo ge to yaad aaoon gaa


ab tare aashk main hoontoon se churaa leta hoon
haath se khud inhain poonchho ge to yaad aaoon gaa


shaal pehnaa-e-ga ab kaun december main tumhain
baarishoon main kabhii bheego ge to yaad aaoon gaa

aaj to mahafil-e-yaaran pe ho maghroor bohat
jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaoon gaa



haadse aayen ge jeevan main to tum hoke nidhaal
kisi deevar ko thaamo ge to yaad aaoon gaa

iss main shaamil hai merii bakhat kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahano ge to yaad aaoon gaa


Bichar key .....



Mohabbat k siwa......



Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin

Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin

Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin

محبّت میں اگر کوئی جھوٹ بولے تو


محبّت میں اگر کوئی جھوٹ بولے تو
محبّت روٹھہ جاتی ہے
محبّت ٹوٹ جاتی ہے
محبّت میں اداکاری نہیں چلتی
محبّت میں *ریا کاری نہیں چلتی
محبّت سچّے جذبوں سے بنا انمول موتی ہے
محبّت زندگی میں فقط اک بار ہوتی ہے
محبّت کانچ کی مانند
محبّت آنچ کی مانند
کہ جوں جوں وقت گزرے تو
یہ ہر پل تیز ہوتی ہے
سلگتی آگ کی مانند
محبّت راگ کی مانند
کہ اس کے سننے والوں پر
عجب مدہوشی چھاتی ہے
محبّت جھلملاتی ہے
چمکتے چاند کی مانند
محبّت ایک مورت ہے
محبّت خوبصورت ہے
یہ مورت سب کو بھاتی ہے
کئی سجدے کراتی ہے
محبّت ریل کی مانند
کہ انجانے مسافر اس کی ہر پل
راہ تکتے ہیں
یہ بس اک بار آتی ہے
اگر یہ چھوٹ جائے تو
مسافر سوگ کرتے ہیں
مسافر روگ کرتے ہیں
محبّت جوگ کی مانند
جسے اک بار لگ جائے
وہ سب کچھہ بھول جاتا ہے
محبّت دیوار سے لپٹی اک بیل کی مانند
جو سدا بڑھتی ہی جاتی ہے
محبّت خوشبو کی مانند
جو ہر سو پھیل جاتی ہے
محبّت گنگناتی ہے
سُریلے گیت کے مانند
کسی کے نرم ہونٹوں سے
یہ جب لفظوں کی صورت میں نکلتی ہے
تمنّا پھر مچلتی ہے
محبّت راکھہ ہوتی ہے
محبّت پاک ہوتی ہے
محبّت معصوم سا سچ ہے
کہ اس کو بولنے سے روح میں
پاکیزگی سی لوٹ آتی ہے
تبھی تو! محبّت میں اگر کوئی جھوٹ بولے تو
!!!!محبّت روٹھہ جاتی ہے

Khaak ma guzra hua pall.....




خاک میں گُزرا ہوا کل نہیں ڈھونڈا کرتے
وہ جو پلکوں سے گِرا پل نہیں ڈھونڈا کرتے

پہلے کچھ رنگ لبوں کو بھی دِئیے جاتے ہیں
یُونہی آنکھوں میں تو کاجل نہیں ڈھونڈا کرتے

جس نے کرنا ہو سوال آپ چلا آتا ہے
لوگ جا جا کے تو سائل نہیں ڈھونڈا کرتے

یہ ہیں خاموش اگر، اس کو غنیمت جانو
یونہی جذبات میں ہلچل نہیں ڈھونڈا کرتے

پیچھے کھائی ہے تو آگے ہو سمندر گہرا
مسئلہ ایسا ہو تو پھر حل نہیں ڈھونڈا کرتے

اِن کُھلی آنکھوں سے خوابوں کو تلاشو نہ بتول
پلکیں ہو جائیں جو بوجھل نہیں ڈھونڈا کرتے

فاخرہ بتول


aansoun main mushkil hai kaainat zam karna

Muskorati aankhoun ko dostoun ki nam karna


Raam aisay afsane choor do raqam karna


ab kahan wo pehli se furstain muyassar hain


sara din safar karna,sari raat gham karna


sabr ki riwayat main,jabr ki adalat main


lab kabhi na waa karna,sar kabhi na kham karna


shehr-e-shair main ham ne gham bohat chone lekin


aansoun main mushkil hai kaainat zam karna


zindagi tu sapna hai,koun Raam apna hai


kia kise ko dukh dena kia kise ka gham karna

                        rAnA Ta$liM

Monday, January 18, 2010

ArZoO....




Mujhey Badnaam Kerney k Bahaney dhondhtey ho kyun...?

 

Abhi Sooraj nahin doba zara si sham honey do
Main Khudh hi lout jaonga Mujhey Nakaam honey do

Mujhey Badnaam Kerney k Bahaney dhondhtey ho kyun?
Main Kudh ho jaonga Badnaam pheley Naam honey do

Abhi kerna nahin itraf-e-shikaast Mujh ko
Main sab tasleem ker loonga ya charcha aam honey do

Meri Hasti nahin anmool pher bhi bik nahin sakta
Wafaieen beech leyna per zara nilaam honey do

Naye aghaz main hi honsala kyun haar baithy ho?
Jeet jao gey Tum sab kuch zara Anjaan honey do

Nazam Lehje ki Talkhian ....

 

Assalam-o-Alaikum 
Shagufta Basit ki
aik khoobsurat Nazm ....

in the last line ....
word "Kan Kan" is Kahan Kahan hona chahye,
agar mistake ho to plz ... let me inform
so that I can correct it ....




Mujhay apni ana ka khayal tha....



Ussay apni zid ki fikr thi

Mujhay apni ana ka khayal tha

Na mil sakay hum phir kabhi

Wo hamari mohabaton ka zawal tha

Meray liyay us ka sath hi sub koch tha

Us kay liyay yeh sab mazaq tha

Usay bas apni manzilon ki fikr thi

Yahan meri zindagi ka sawal tha.......

mausam-e-abr ho subuu bhii ho.....


 

mausam-e-abr ho subuu bhii ho
gul ho gulshan ho aur tuu bhii ho

kab tak aaiine kaa ye husn-e-qubuul
muuNh teraa is taraf kabhuu bhii ho

ho jo teraa saa rang gul kaa hai
dekheN ham tab jab aisii buu bhii ho

hai gar'z ishq sirf hii lekin
shart ye hai ke justujuu bhii ho

sarkashii gul kii sar nahiiN aatii
naaz karne ko vaisaa ruu bhii ho

kis ko bulbul hai dam-kashii kaa dimaagh
ho to gul hii kii guftuguu bhii ho

dil tamanaa-kadaa to hai par "Mir"
ho to us kii hii aarzuu bhii ho

kahin sung mai bhi hai roshni.....

 

kahin sung mai bhi hai roshni kahi aag mai bhi dhu'aan nahi
ye ajeeb shehr-e-talism hai! kahi admi ka bhi nishaan nahi



na hi is zameen kay nasheeb mai na hi asma'an kay faraz mai
kati umar is ko talashtay, jo kahi nahi par kaha nahi?



ye jo zindagni ka khail hai, gham-o-inbasat ka mail hai
usay qadar kya ho bahaar ki kabhi dekhi jis nay khizaa'n nahi



woh jo kat maray par na jhuk sakay jo na maqtaloon say bhi ruk sakay
koi asa sir nahi dosh par kisi monh mai asi zubaa'n nahi



jo thay ashq mane woh pee liye lab-e-khuskh shokhta see liye
meray zakhm phir ayaa'n rahay mera dukh phir bhi nehaa'n nahi



nahi is ko ishq say wasta woh hai aur hi koi rasta
agar is mai dil ka lahoo nahi agar is mai jaan ka ziyaa' nahi

MERI YAAD AAYE GI.....

shaam ke ujalon par

Apnay Narm hathon se

koi baat sachi si

koi khawab sacha sa

koi bolti khushbu

koi soochta lamha

jab bhi likhna chaho ge

soch ke darichon se

yaad ke hawalon se

mera naam chupke se

tum ko yaad aye ga

haath kaanp jayenge

shaam thehar jaye gi

meri yaad aaye gi


[rAnA Ta$liM]

Friday, January 15, 2010

Wo Jo Dawey Dar Hai ..........


 

Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas Hay
Kabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass Hun

Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun

Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi Kia
Ksi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas Hun

Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass Hun

Kisi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aietbar Hun Jan-E-Man Na Guman Hun Na Qayas Hun

Mat Pooch k Kiya Haal Hay.....

 

bazicha-e-atfal hai duniya mere age
hota hai shab-o-roz tamasha mere age

ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere age

juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age

hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere agey

mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere age

sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere age

phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere age

nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere age

iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufar
kaba mere peeche hai kalisa mere agey

ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majnun ko bura kahti hai laila mere age

khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
ai shab-e-hijraan ki tamanna mere age

hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age

go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai
rahne do abhi sagar-o-mina mere age

hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age

kuchh to log kahteiN haiN.......





kuchh to log kahteiN haiN...


kuchh to sun-kay haiN has-tay
to kuchh haiN ro-tay
te-ray me-ray qis-say ab bhi
haiN galiyoN meiN ho-tay

kuchh tu-jhay mu-jhay ilzaam de-tay haiN
kuchh tu-jhay mu-jhay nakaam keh-tay haiN
te-ray me-ray qis-say logoN kay
zubaan per aam reh-tay haiN
kuchh tu-jhay bewafaa keh-tay haiN
kuchh mu-jhay bewafaa keh-tay haiN

ishq kya balaa hai, log tera mera
naam le-kay keh-tay haiN
kuchh log tu-jhay badnaam kar-tay haiN
kuchh log mu-jhay badnaam kar-tay haiN

lekin ishq kay naam per
dono ko salaam de-tay haiN
kuchh log te-ray qabar per aa-tay haiN
kuchh log meri qabar per aa-tay haiN

hum phir jee uTheN-gay ek doo-jay kay
liye yeh dava kar-kay jaa-tay haiN


* Imamat - By Allama Iqbal *






Thursday, January 14, 2010

Wafa Ki Khair Manata hoon bewafai me bhi............


Wafa ki khair manaata hoo'n bewafaai mein bhi
Main uski qaid mein hoo'n qaid se rihaai mein bhi

Lahu ki aag mein jal bujh gaye badan tau khula
Rasaai mein bhi khasaara hai naa rasaai mein bhi

badaltay rehtay hain mausam guzarta rehta hai waqt
Magar yeh dil k wahee'n ka wahee'n judaai mein bhi

Main das baras se kissi khawab k azaab mein hoo'n
Wohi azaab dar aaya hai is dahaai mein bhi

Tasaadum dil-o-duniya mein dil ki haar k baad
Hijaab aanay laga hai ghazal saraai mein bhi

Main ja raha hoo'n ab uski taraf ussi ki taraf
Jo mere sath tha meri shikasta paai mein bhi.


DUBARA KYUN NHE AATA........




Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

Mujeh Ye Zid nahi........




Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao

Mujrim bhi tha....................

 

Friday, January 08, 2010

Aansoun main mushkil hai kaainat zam karna.............


 

Muskorati aankhoun ko dostoun ki nam karnaRaam aisay afsane choor do raqam karna


ab kahan wo pehli se furstain muyassar hain
sara din safar karna,sari raat gham karna


sabr ki riwayat main,jabr ki adalat main
lab kabhi na waa karna,sar kabhi na kham karna


shehr-e-shair main ham ne gham bohat chone lekin
aansoun main mushkil hai kaainat zam karna


zindagi tu sapna hai,koun Raam apna hai
kia kise ko dukh dena kia kise ka gham karna

Dil Doobne Lagta Hay............

 

phir aap ne dekhaa hai muhabbat kii nazar se
guzare na kahiiN gardish-e-dauraaN bhii idhar se

poochheN to zaraa pech-o-Kham-e-raah kii baateN
kuchh log abhii lauT ke aaye haiN safar se

shaayad kahiiN sooraj kii kiran shaam ko phooTe
ham sham'a jalaaye hue baiThe haiN sahar se

logo merii aashuftaa_sarii par na karo taNz
ilzaam utaaro us zulf ke sar se

taare to apnii chamak dikhaate haiN sahar tak
dil Doobne lagtaa hai magar pichhale pahar se

''Mazhar'' Imaam

teri aaaz pe shayad koi murr kar dekhe............



devta husn k daikhey boht khud sarr daikhey
ham ne bhi laug jo daikhey tau wo patthar daikhey

aaj bitchreh huwe laugo'n ko sada de ai dil
teri aawaz pe Shayad koi murh karr daikhey

lab hain khamosh magar dil mai dhuwa'n utth'ta hai
ham NE chup chap sulagte huwe paykar daikhey

meri nazro'n mai sitaro'n ki haqiqat kia hai
maine palko'n pe larztey huwe gauhar daikhey

mujhko chhalki hui harr aankh se dar lagta hai
kaisey toote huwe dil dard k manzar daikhey

mujhko shikwa nahi ai kaatib e taqdeer magar
ro parhey tu bhi agar mera muqaddar daikhey

Khuda jaane tumhaare zehen mai kia hai ...............

 

Khuda jaane tumhaare zehen mai kia hai
Mere baare mai tum kia sochti ho keh nahee sakta
Magar mai is liye milney se katraata hun tum se
Ke wo baten jo hum likhte hain aapne khat mai chahat se

Wo baaten aur baaten hain
Wo baten aisi baten hain ke bas baaten hi baten hain
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se
Haqeeqat munkashif hoti nahee alfaz likhne se

Zubani giftgoo se bahami izhar-o-arz-e-hal kerne se
Bahut si aisi baaten hain
Jinhen sunne ko kaano ki nahee aankhon ki haajat hai
Agar tum mujh se milne per bahut israar kerti ho

To phir aik shart hai
Aik lafz bhi kehna na hoton se
Faqat aankhon se aankhen guftgoo kerti rahen
Khala apne sawaalon ka

in aankhon ki sadayen khud bakhud bharti rahengi
Agar milna zaroori hai
To chhoti si meri yeh shart
apne zehen mai rakhna!!!

Poet: Aitebar Sajid

Abhi Dard Baqi Hay....!

Dost Ban k...!


Thursday, January 07, 2010

Dukh


makrooz k bigre hue halat ki manind
majboor k honto k sawalat ki manind

dil ka teri chahat mei ajab hal hua hai
selab se burbad makanat ki manind

mei un mei bhatakte hue jugnu ki tarah hu
jis shaks ki ankhei hai kise ratt ki manind

dil roz sajata hu mei dulhan ki tarah se
gham roz chale ate hein baraat ki manind

ab yeh b nahi yad k kaya namm tha us ka
jis shaks ko manga tha mnajat ki manind

kis durja muqaddas hai tery qurb ki khawaish
masoom se buche k khayalat ki manind

us shaks se milna mera mumkin hi nahi hei
mei payas ka sehra hu woh bursatt ki manind

samjao usko ab kuch rehm kare wo
dukh bant'ta phirta hey wo sughaat ki manind

jUSTAjO


azaab-e-deed mei ankhei lahu lahu kr k
mei sharamsar hua teri justaju ker k

suna hey shehr mei zakhmi dilo ka mela hey
chale ge hum b magar pairhan raffu ker k

musafat-e-shab-e-hijran k badd bhaid khula
hawa dukhi hai charagho ki aabru ker k

ye kis ne hum se lahu ka khiraj phir manga
abhi tu soye thy maqtal ko surkhru kar k

ujaar rut ko gulabi bunae rukhti hey
humari ankh teri deed se wazoo ker k

wafa


wafa k qaid khano mein
sazaein kub badalti hei....
.
badalte dil ka mosam he
hawaen kab badalti hei ...

libadah orah k gham ka
nikel jate hei sehra ko...

jawab aye ya na aye
sadaein kab badalti hei....

meri sari duae tum se hi mansoob rehti hei
meohbat ho agr sachi duaei kab badalti hei....

koi pa kar nibahata hey
koi kho ker nibahta hey....

naey andaz hote hei
wafaeyn kub badalti hei....

gunahu ko hamare
aik hi malik bukhashta hey...

atta USS ki purani hey
khataein kub badalti hei.....

me na mil sako jo tum se


mai na mil sako jo tumse
meri justaju na kerna...
tumhe meri hi kasm hey
meri arzo na kerna

mujhe jis se he muhabt
usey hey ajab ye adat....
kabi moo ko phair lena
kabi guftagu na kerna

mai ne chaha tha kise ko
mera hal kia hey deikho...
jo kia kasor mei ne
wo tum kabi na kerna

meri ho agar burai
tu na dena tum safai....
mery sath khud ko ruswa
kabi ko-ba-ko na kerna

koi poche badnaseebi ki
he inteha b koi..
tu meri misal dena
tou mujhe namoona kerna

me na mil sako jo tum se
meri justaju na kerna...
tumhe meri hi kasm hey
meri arzo na kerna