Muskorati aankhoun ko dostoun ki nam karnaRaam aisay afsane choor do raqam karna
ab kahan wo pehli se furstain muyassar hain
sara din safar karna,sari raat gham karna
sabr ki riwayat main,jabr ki adalat main
lab kabhi na waa karna,sar kabhi na kham karna
shehr-e-shair main ham ne gham bohat chone lekin
aansoun main mushkil hai kaainat zam karna
zindagi tu sapna hai,koun Raam apna hai
kia kise ko dukh dena kia kise ka gham karna
No comments:
Post a Comment