Thursday, January 14, 2010

Wafa Ki Khair Manata hoon bewafai me bhi............


Wafa ki khair manaata hoo'n bewafaai mein bhi
Main uski qaid mein hoo'n qaid se rihaai mein bhi

Lahu ki aag mein jal bujh gaye badan tau khula
Rasaai mein bhi khasaara hai naa rasaai mein bhi

badaltay rehtay hain mausam guzarta rehta hai waqt
Magar yeh dil k wahee'n ka wahee'n judaai mein bhi

Main das baras se kissi khawab k azaab mein hoo'n
Wohi azaab dar aaya hai is dahaai mein bhi

Tasaadum dil-o-duniya mein dil ki haar k baad
Hijaab aanay laga hai ghazal saraai mein bhi

Main ja raha hoo'n ab uski taraf ussi ki taraf
Jo mere sath tha meri shikasta paai mein bhi.


No comments:

Post a Comment