Monday, January 18, 2010

kahin sung mai bhi hai roshni.....

 

kahin sung mai bhi hai roshni kahi aag mai bhi dhu'aan nahi
ye ajeeb shehr-e-talism hai! kahi admi ka bhi nishaan nahi



na hi is zameen kay nasheeb mai na hi asma'an kay faraz mai
kati umar is ko talashtay, jo kahi nahi par kaha nahi?



ye jo zindagni ka khail hai, gham-o-inbasat ka mail hai
usay qadar kya ho bahaar ki kabhi dekhi jis nay khizaa'n nahi



woh jo kat maray par na jhuk sakay jo na maqtaloon say bhi ruk sakay
koi asa sir nahi dosh par kisi monh mai asi zubaa'n nahi



jo thay ashq mane woh pee liye lab-e-khuskh shokhta see liye
meray zakhm phir ayaa'n rahay mera dukh phir bhi nehaa'n nahi



nahi is ko ishq say wasta woh hai aur hi koi rasta
agar is mai dil ka lahoo nahi agar is mai jaan ka ziyaa' nahi

No comments:

Post a Comment