Monday, February 07, 2011

Jaanay waalon say palat kar nahi aaya jaata




Jaanay waalon say palat kar nahi aaya jaata
Raasta kis liye phoolon say sajaaya jaata

Gard, shab aur hawa teenon ki ye saazish thi
Ye diya jal kay na bhujta to bujhaaya jaata

Ghair say chaaon talab karnay say behtar kahein
Apnay aangan mein koii paiR ugaaya jaata

Hum musafir thay jo chaltay bhi to paaon jaltay
Sar kay sooraj ko agar sar say giraaya jaata

Ab kay mausam mein bohat dhoop utar aaii hay
Baraf kay phoolon say kya haar banaaya jaata


No comments:

Post a Comment