Monday, January 10, 2011

Palat kar dekha to manzar badal gya jana by Fakhira Batool Naqvi






Dua woh kartay kay hum Asman hila daitay



Diyar-e-Gair Say Kaisay Tujhay Sada Daitay
Too mil bhee jata tou Aakhir tujhay ganwa daitay


Tumhee nay hum ko sunaya na apna dukh warna
Dua woh kartay kay hum Asman hila daitay


Hamin yeh Zaoum Raha ab kay woh pukarain gain
Unhain yeh zidd thee kay har baar hum sada daitay


Tumhain Bhulana he awwal tou Dastaras main nahin
Jo ikhtiar bhee hota tou kia bhula daitay


hum apany Bacchon say kaisay kahain kay yeh guria
hamray bas main jo hota tou hum dila daitay


tumhari yaad nay koi jawab hee na diya
meray khyal kay aansoo rahay sada daitay


Khamoshi unki mairay wastay qiyamat thee
woh kuch na kehtay magar hont he hila daitay


ab aiy hain meri turbat pay fateha padhnay
nikal raha mera dam jinhay sada daitay


Woh tera gham tha kay Taseer meray lahjay ki
kay jis ko Haal sunatay usay rula daitay


Zker -e- Shab -e- Faraq Say Wehshat Usay Bhi Thi



Zker -e- Shab -e- Faraq Say Wehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kese Say Mohabbat Usay Bhi Thi


Mujh Ko Bhi Bohat Shouq Tha Naey Cheroon Kay Deed Ka
Rasta Bdal Kay Chalnay Ke Adat Usay Bhi Thi


Us Raat Dair Tak Wo Raha Maho Guftagoo
Masroof Main Bhi Kam Tha Faragat Usay Bhi Thi


Mujh Say Bechar Kay Shaher Main Ghul Mil Gia Wo Shaks
Hala-keh Shaher Bhar Say Adawat Usay Bhi Thi




Tanha Howa Safar Main Tu Mujh Per Khula Yah Bhaid
Saey Say Pyaar , Dhoop Say Nafrat Usay Bhi Thi


Mohsen Main Us Say Keh Na Saka Yoon Bhi Haal -e- Dil
Darpesh Aik Taza Musebat Usay Bhi Thi......


Salook -e- Na rawa Ka Is Liyay Shekwa Nahi Karta



Salook -e- Na rawa Ka Is Liyay Shekwa Nahi Karta
Kah Main Bhi Tu Kese Ke Baat Ke Parwa Nahi Karta


Bohat Hoshyaar Hoon Apni Laraee Aap Larta Hoon
Main Dil Ke Baat Mager Dewaar Per Likha Nahi Karta


Ager Per Jay Aadat Aap Apnay Sath Rahnay Ke
Yeh Sath Easa Hai Keh Insaan Ko Tanha Nahi Karta


Zameen Pairoon Say Kitne Bar Din Main Nekalte Hai
Main Easay Hadsoon Per Dil Mager Chota Nahi Karta




Tera Israar Sir Aankhoon Pay Tujh Ko Bhool Janay Ke
Main Koshish Kar Kay Dekhoon Ga Mager Wada Nahi Karta....

Friday, July 09, 2010

Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha

Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.

Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,

Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.

Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,

Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.

Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,

Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.

Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,

Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.

Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,

Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha.

Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya,Mujha Bus woh Itna Hi Keh Saka,

Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha