Thursday, December 17, 2009

yeh MOHABBAT Hai

azal sey hai mohabbat maavra lafzon kii maala sey
magar yeh bhi haqeeqat hai
mohabbat soch k aakash par badal kii soorat mein
sada parwaaz kartii hai
kabhii baarish kii boondon mein simat kar
dil kii dhartii par
utartii hai, bikhartii hai
ada ley kar saba sey yeh, ghulaabon sey mehak ley kar
dhanak sey rang ley kar aur sitaron sey chamak ley kar
haseen aanchal banatii hai
ussi aanchal sey phir khawabon k kachay gher banatii hai
mohabbat aazmaatii hai
kabhii yeh shair ban kar lafz kii hurmat bharhaati hai
kabhii yeh saaz ban kar dheeray dheeray
gungunatii hai
sarapa e aankh ban jaatii hai yeh mehboob ko paa kar
anokha lams ban jaatii hai yeh ku e yaar mein jaa kar
naa janay kon saa mantar parh kar yeh
holay holay sey
kissi kii band palkon mein bina dastak diye yakdam
utar kar gher banatii hai
mohabbat muskuratii hai
yeh khushboo hai hamesha phool kii saanson mein
hotii hai
bana dey chaand tera shab ko yeh aisa motii hai
kasak hai daa'aimii iss mein bohat bey naam lazat hai
Mohabbat kii yehii tareef hai k
"yeh MOHABBAT Hai"

No comments:

Post a Comment