Saturday, March 17, 2012

Teri Yaaad


Dua

Dil udhaas hai bohut koi paighaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar aik shaam hi likh do

Zuroori nahi kay mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Yeh jaanta hoon kay umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thehre hum
Koi enaam na likho koi ilzaam hi likh do

Dil ki kainaat

Wo kiss adaa se mere saamne se guzre abhi
Kiss tarha maine sambhale mere jazbaat na pooch

Waqt jo badle toh insaan badal jaate hai
Kya nahi dikhlaate yeh gardish-e-halaat na pooch

Woh kisi ka ho bhi gayi aur mujhe khabar na hui
Kiss tarha usne chudaya hai mujhse haath na pooch

Iss tarha pal mein mujhe begana kar diya usne
Kiss tarha apno se khayi hai maine maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

Sunday, May 01, 2011

Ab kia likhe hum kaghaz per

Ab kia likhe hum kaghaz per
Ab likhne ko kia baki hai
Ek dil tha woh toot gaya
Ab tootne ko kia
baki hai
Ek shakhs ko hum ne chaha tha
Ek rait pe naqsh banaya tha
Woh rait to kab ki bikher gai
Woh naqsh kahan ab baki hai
Hum jin ko apni nazmon ka
Unwan banaya karte the
Lafzon ko bana k taj mehal
Kaghaz per sajaya karte the
Woh hum ko akela chor gaya
Sab rishton se moo mor gaya
Ab raaste saare soone hain
Woh pyar kahan ab baki hai
Ab kia likhen hum kaghaz per
Ab likhne ko kia baki hai

pyaas vo dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahi

pyaas vo dil ki bujhaane

kabhi aaya bhi nahi

kaisa baadal hai jisaka

koi saaya bhi nahi

beruKhi is se badi aur

bhala kya hogi

ek muddat se hamen us ne

sataaya bhi nahi

roz aata hai dar-e-dil pe

vo dastak dene

aaj tak hamane jise paas

bulaaya bhi nahi

sun liya kaise Khudaa

jaane zamaane bhar ne

vo fasaana jo kabhi

hamane sunaaya bhi

nahi

tum to shaayar ho 'Qateel'

aur vo ik aam saa shaKhs

us ne chaaha bhi tujhe aur

jataaya bii nahi