Thursday, April 01, 2010

Yeh pichlay ishq ki baatein hein (mohsin Naqvi)


Yeh pichlay ishq ki baatein hein
jab aankh mein khwaab damaktay thay
jab dil mein daagh chamaktay thay
jab palkein sheher ke rastoon main
ashkon ka noor lutatee thein
jab saansein ujlay chehron ke
tan-man mein phool sajati thein
sochon mein bhanvar par jaatay thay
jab aik talatum rehta tha

apnay be-ant khayalon mein
har ehad nibhaanay ki kasmain
khat khoon se likhnay ki rasmain
jab aam thein hum dil walon mein
ab apni ujree ankhoon mein
jitni roshan si raatein hein
us umer ki sab soughaatein hein
jis umer ke khwaab khayaal huye
woh pichlii umer thi beet gaii
woh umer beetay saal huye

ab apni deed ke rastay mein
kuch rang hai guzray lamhon ka
kuch ashk ki baraatein hein
kuch bhoolay bisray chehray hein
kuch yaadon ki barsaatein hein
yeh sab pichlay ishq ki baatein hein

Chalo Choro- BY MOHSIN NAQVI


CHALO CHORO

Muhabbat jhoot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikaar logon ka

Talab sookay huway patton ka baironuq jazeera hai

Khulish deemuk-zuda awraaq pur boseeda sutron ka zakheera hai

Khumaar-e-wusl tuptee dhoop ke seenay pe Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish

Ghubar-e-Hijr sehra main sarabon say atey mosum ka khamyaza
..

..

..

..

CHALO CHORO

Ke ab tuk main andhairon ki dhumuk main saans ki zarbon pe

Chahut ki bina ruk kar safar karta raha tha

Mujay ihsas hi kub tha

Ke tum bhee mosumon ke saat apnay peruhun kay rung badlogi

..

..

..

..

CHALO CHORO

Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they

Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar jum gaye hongay

Tumharee unglion ki nurm porain puthuron pe naam liktee thee mera laikin

Thumharee unglian tho aadtun ye jurm karthee thee

..

..

..

..

CHALO CHORO

Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai
Sadion say

..

..

..

..

CHALO CHORO

Mera hona nu hona ik barabar hai

Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do

Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do

meray khwabon ko murnay do

nuyee tasweer daiko

phir naya maktoob liko

phir nuye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho

meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo

meree yaadon say kuchey raabitay torho
..

..

..

..

CHALO CHORO

muhabbat jhoot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka

Us ne phir maira haal poocha hay

Us ne phir maira haal poocha hay
Kitna mushkil sawaal poocha hay

Hichkiyon ka ajeeb lehja tha
Baat ko taal taal poocha hay

Tum mujhe choR to na jaao ge
Waaste daal daal poocha hay

Aansuuon ki zubaan ma' us ne
Jitna poocha kamaal poocha hay

Kya kabhi mil sakein ge hum donon
Mujh se maira khayaal poocha hay

Ajab Pagal Si Larki Hai

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?

Wednesday, March 10, 2010

mohabbat maum ka ghar hai

wo kehti hai suno jana'n mohabbat maum ka ghar hai
tapish ye bad ghumani ki kahee'n pighla na de isko
mai kehta hoo'n k jiss dil mai zara bhi bad ghumani ho
waha'n kuchh aur ho tau ho mohabbat ho nahi sakti


wo kehti hai, sada aisey hi kya tumm mujhko chahogey
k mai iss mai kami bilkul gawara karr nahii sakti
mai kehta hoo'n, mohabbat kya hai ye tumne sikhaya hai
mujhe tumsey mohabbat k siwa kuchh bhi nahii aata


wo kehti hai judai se boht darta hai dill mera
k tumko khudd se hatt kar daikhna mumkin nahii hai abb
mai kehta hoo'n yahi khadshey boht mujhko satatey hain
magar sach hai mohabbat mai judai sath chalti hai


wo kehti hai bata'o kya merey binn jee sakogay tumm?
meri batain meri yadain, meri aankhain bhula do gay?
mai kehta hoo'n kabhi iss baat par socha nahii mainey
agar ikk pall ko bhi sochoo'n tau sansain rukne lagti hain


wo kehti hai tumhe mujhse mohabbat iss qadar kyu'n hai
k mai ikk aam si larhki tumhe kyu'n khas lagti hoo'n
mai kehta hoo'n kabhi khudko meri aankho'n se tum daikho
meri deevangii kyu'n hai ye khud hii jaan jaa'ogay


wo kehti hai mujhe waraftagee se daikhte kyu'n ho?
k mai khuddko boht hi qeematii mehsoos karti hoo'n
mai kehta hoo'n mata e jaa'n boht anmol hoti hai
tumhe jab dekhta hoo'n zindagi mehsoos karta hoo'n


wo kehti hai mujhey alfaaz k jughnoo nahi miltey
tumhe batla sakoo'n dill mai merey kitni mohabbat hai
mai kehta hoo'n mohabbat to nigaho'n se chhalakti hai
tumhari khamoshi mujhse tumhari baat karti hai


wo kehti hai bata'o na kisey khone se darte ho?
bata'o kaun hai wo jisko ye mausam bulate hain?
mai kehta hoo'n ye meri shayari hai aaina dill ka
zara daikho bata'o kuchh tumhe iss mai nazar aaya


wo kehti hai k Aatif jee boht batain banatey ho
magar such hai k ye batain boht hii shaad rakhti hain
mai kehta hoo'n ye sab batain, fasane ikk bahana hain
k pall kuchh zindagani k tumharey sath katt jayain


phir uss k baad khamoshi ka dilkash raqs hota hai
nagahain bolti hain aur labb khamosh rehte hain