Friday, February 05, 2010

Gar mujhey is ka yaqeeN ho.........

Gar mujhey is ka yaqeeN ho, mery humdam, mery dost
gar mujhey is ka yaqeeN ho keh tery dil ki thakan
teri aankhooN ki udaasi, tery seene ki jalan
meri diljoii mery pyar sey mit jaeye gi

gar mera harf-e-tassalli woh dawa ho jis sey
jii uthey phir tera ujrha huaa benoor demagh
teri peshani sey dhul jaaeeN yeh tazleel ke daagh
teri beemar jawani ko shifa ho jaeye

gar mujhey is ka yaqeeN ho, mery humdam mery dost!

roz-o-shab, sham-o-sehar maiN tujhey behlata rahooN
main tujhey geet sunata rahooN, halkey, shireeN
aabsharoN key, baharooN key, chaman zaroN ke geet
aamd-e-subh key, mehtaab key, sayyaroN key geet
Tujh sey maiN khus-o-muhabbat ki hiqayaat kahooN
kaisey maghroor haseenooN key barfaab sey jism
garm hathooN ki hararat sey pighal jatey haiN
kaisey ik chehrey key thehrey howey manoos naqoosh ,
dekhtey dekhtey jaklakht badal jatey haiN
kisss tarah aarz-e-mehboob ka shaffaf belour
yak-ba-yak bada-e-akhmar sey dehak jata he
kaisey gulcheeN key liye jhukti he khud shakh-e-gulaab
kiss tarah raat ka ewaan mehak jata he

yuunhi gata rahooN, gaata rahooN teri khatir
geet bunta rahooN, betha rahooN teri khatir

per mery geet, tery dukh ka mudawa hi naheeN
naghma jarrah naheeN, mooanis-o-ghamkhaar sahi
geet nishtar to naheeN, marham-e-aazaar sahi

tery aazaar ka chara naheeN, nishtar key siwa
aur yeh saffak maseeha mery qabzey meiN naheeN
is jahaN key kisi ziruuh key qabzey meiN naheeN

haaN magar....
tery siwa, tery siwa, tery siwa!!

                          rAnA Ta$liM

No comments:

Post a Comment