Sunday, May 01, 2011

Ab kia likhe hum kaghaz per

Ab kia likhe hum kaghaz per
Ab likhne ko kia baki hai
Ek dil tha woh toot gaya
Ab tootne ko kia
baki hai
Ek shakhs ko hum ne chaha tha
Ek rait pe naqsh banaya tha
Woh rait to kab ki bikher gai
Woh naqsh kahan ab baki hai
Hum jin ko apni nazmon ka
Unwan banaya karte the
Lafzon ko bana k taj mehal
Kaghaz per sajaya karte the
Woh hum ko akela chor gaya
Sab rishton se moo mor gaya
Ab raaste saare soone hain
Woh pyar kahan ab baki hai
Ab kia likhen hum kaghaz per
Ab likhne ko kia baki hai

pyaas vo dil ki bujhaane kabhi aaya bhi nahi

pyaas vo dil ki bujhaane

kabhi aaya bhi nahi

kaisa baadal hai jisaka

koi saaya bhi nahi

beruKhi is se badi aur

bhala kya hogi

ek muddat se hamen us ne

sataaya bhi nahi

roz aata hai dar-e-dil pe

vo dastak dene

aaj tak hamane jise paas

bulaaya bhi nahi

sun liya kaise Khudaa

jaane zamaane bhar ne

vo fasaana jo kabhi

hamane sunaaya bhi

nahi

tum to shaayar ho 'Qateel'

aur vo ik aam saa shaKhs

us ne chaaha bhi tujhe aur

jataaya bii nahi