Tuesday, March 08, 2011

Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jesi

Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jesi
par tabiyat wohi hai bhoolne waalon jesi


Ik zamane ki rafaqat pe bhi ram-khorda hai
us kam aamaiz ki khushbu hai ghazalon jesi


Dhoondta phirta hoon logon main shabahat uski
ke woh khuwabon main bhi lagti hai khayalon jesi


Kis dil azaar musafat se main lota hoon ke hai
aansuon main bhi tapak paoon ke chaalo

Sham k saanwly chehre ko niikhara jaae

Sham k saanwly chehre ko niikhara jaae
Q na sagar se koi chand
ubhaara jaae

Raas aya nahi taskeen ka sahil koi
Phir mujhe Pyaas k darya mein utaara jaae

Mehrban teri nazar teri adaen Qatil
Tujhe kis naam se ay dost pukaara jaae

Mujhko dar hai tery wadey pe bhrosa ker k
Muft mein ye Dil-e-khush fehm na maara jaae

Jis k dam se mery din raat darkhshan the "QATEEL''
Kesy ab us k bina waqt Guzaara jaae....

Meri aankhon k samandar mein jalan kaisi hai??

Meri aankhon k samandar mein jalan kaisi hai
Aaj phir dil ko tarapney ki lagan kaisi hai

Ab kisi chhat pe chiraghon ki qatarain bhi nahi
Ab terey sheher ki galiyon mein g'hutan kaisi hai

Barf ki roop mein dhal jayenge saarey rishtey
Mujh se pochho k mohabbat ki agan kaisi hai

Mein terey wisal ki khawhish ko na marney dunga
Musam-e-hijar k lehjey mein thakan kaisi hai

Regzaaro'n mein jo bunti rahi kaanton ki rida
Us ki majboor si aankhoon mein kiran kaisi hai

Mujhe masoom si larki pe taras ata hai
Usey daikho to mohabbat mein magan kaisi hai

Wo jo bichda to meri umr ghata di uss ne...

Hum jo mehkey to meri shaakh jala di uss ne

Sabz mousam mein mujhe zard hawa di uss ne...

Pehley ek lamhey ki zanjeer sey bandha mujh ko,

Aur phir waqt ki raftar barha di uss ne...

Jaanta tha k mujhe maut sakoon bakhshey gi,

Wo sitamgar tha, so jeeney ki dua di uss ne...

Uss k honey sey thi sansein meri dugni shayad,

Wo jo bichda to meri umr ghata di uss ne...

Be-aitebaar shakhs tha so waar kar gaya

Be-aitebaar shakhs tha so waar kar gaya

Lakin merey shawoor ko baidaar kar gaya

Kuch mein ne Ishiteial mein shikwey giley kiye

kuch wo shikayatain sar-e-bazar kar gaya

Pehley woh meri zaat ki taameer mein raha

phir mujh ko apney haath sey mesmaar kar gaya

woh aa mila to faasley kat'tey chaley gaye

bichrda to raastey merey dushwar kar gaya

Jany Q?

Jany q shikast ka azaab liye baitha hun

main kia hun aur kia khwab liye baitha hun

usne ik bar kia tha sawak-e-mohabat

main har lamha wafa ka jawab liye phirta hun

usne pucha kab se nahi soya

main rut jagon ka hisaab liye phirta hun

uski khwahish thi meri ankh main pani dekhy

main us waqt se ansuyon ka seelab liye phirta hun

afsoos k wo phir bhi mera na hua

main jis ki arzoo ki kitaab liye phirta hun

Khuwab Aankhon Sey Ab Koi Chura Ker Ley Jaye

Khuwab Aankhon Sey Ab Koi Chura Ker Ley Jaye

Qaber K Sookhey Huwey Phool Utha Ker Ley Jaye

Muntazir Phool Main Khushbu Ki Tarah Hun Kab Say

Koi Jhonkay Ki Tarah Aaye Ura Ker Ley Jaye

Yeh Bhi Pani Hey Mager Aankh Ka Aisa Pani

Jo Hatheli Sey Rachi Mehndi Chura Ker Ley Jaye

Main Muhabbat Sey Mahakta Hua Khat Hun Mujh Ko

Zindagi Apni Kitaabon Mein Chupa Ker Ley Jaye

Khaak Insaaf Hey Nabeena Butoon Key Aagey

Raat Thaali Mein Charaaghon Ko Sajaa Ker Ley Jaye

Un Say Kehna K Main Paidel Nahi Aaney Wala

Koi Baadal Mujhay Kaandhey Peh Bitha Ker Ley Jaye

Dil yun dharka

Dil yun dharka k pareshan hoa ho jaisy,
Koi be-dhyani main nuqsan hoa ho jaisy.

Rukh badalta hon to sheh-Rag main chuban hoti hai,
Ishq bhi jang ka maidan hoa ho jaisy.

Jism yun Rams-e-Rafaqat k asar se nikla,
Dosre dor ka saman hoa ho jaisy.

Dil ne phir yun mery seeny main faqeeri rakh di,
Toot kar khud hi pashemaan hoa ho jaisy.

Thaam kar haath mera aisy wo roya :saqi:
Koi  kaafir se musalman hoa ho jaisy.