Friday, June 25, 2010

us ki gali main phir mujhay ik baar lay chalo

Majboor kar k phir mujhay meray yaar lay chalo
us ki gali main phir mujhay ik baar lay chalo

shayad yeh mera weham ho, mera khial ho
mumkin hai meray baad se mera malaal ho ...
pachta raha ho phir mujhay dar se utha k woh
baitha ho meri raah main ankhain bicha k woh
us nay hi tu kia tha mujhay pyaar lay chaloo

us ki gali main phir mujhay ik baar lay chalo

us ki gali ko janta pehchanta hoon main
woh meri qatal gaah hai yeh maanta hoon main
us ki gali main maut muqaddar ki baat hai
shayad yeh maut ahl-e-wafa ki hayat hai
main khud hi maangta hoon talabgaar lay chalo
us ki gali main phir mujhay ik baar lay chalo

aab us gali main koi na aaye ga meray baad
us dar pe khooon kaun bahayay ga meray baad
main nay tu sang-o-khisht se takra k apna sir
wallah kar diye thay lahoo se woh baam-o-dar
phir muntazir hai woh dar-o-dewaar lay chalo
us ki gali main phir mujhay ik baar lay chalo